| Jan ke anjan |
|
Jan ke anjan ban’na acha lagta hy
Us ko apny liy parishan karna acha lagta hy
Wo karty rhy piyar ka iqrar bar bar
Mujh ko Nadan ban kar sun’na acha lagta hy!!
|
|
| |
| Door reh ker bhi |
|
Door reh ker bhi hum unko bhula nahin saktay,
Paas aa ker bhi apni manzil paa nahin saktay,
Ek faasla hum ko bana ker rakhna hai apni mohabbat me,
Kia hai majboori humari yeh bhi bata nahin saktay!
|
|
| |
| Har rooz….. |
|
Har roz koi khuwaab toot jaata hay
har roz koi apna rooth jaata hay
naa janay meri Qismat main kya hay
jisay main yaad karon wohi mujhe bhool jaata hay…
|
|
| |
| Mana yeh waqt hame yaad karne wala nahi |
|
Mana yeh waqt hame yaad karne wala nahi,
par bewaqt he yaad karliya karo,
mana aapke aspas sari duniya hai,
kabhi hamari kamika bhi ehsas karliya karo
|
|
| |
| Chaho To Dil Se Mujh Ko Mita Dena |
|
Chaho To Dil Se Mujh Ko Mita Dena
Chaho To Mujh Ko Bhoola Dena
Par Ye Waada Karo K
Kabhi Meri Yaad Aaye
Rona Mat Sirf Muskura Dena
|
|
| |
| Bhulana tumhain na aasan ho ga |
|
Bhulana tumhain na aasan ho ga,
Jo bhulay tumhain wo nadaan ho ga,
Aap to bastay ho rooh main hamari,
Bus aap hamain na bhulana yeh aap ka ahsan ho ga..
|
|
| |
| Hum zindagi bher k liyay soo jayenge |
|
Suna hai wo keh kar gaye hai ke ab to hum,
Sirf tumhare khuwaboon main hi aayenge,
Koi keh day unse k wo wada kar lay,
Hum Zindgi bher k liye soo jayenge.
|
|
| |
| Aap paas raho ya door |
|
Aap paas raho ya door,
hum dil se dil ki aawaaz mila sakte hain,
na khat k na telephone ke Mohtaajh hain hum,
per aapke dil ko ek hichkii se hila sakte hain.
|
|
| |
| Mita dain gay yeh doori, yeh faslay sab hi |
|
Mita dain gay yeh doori, yeh faslay sab hi,
Kaho gi aik baar k milo aa k kabhi,
Na hoon gay door phir tum say is zindagi main,
Khulra rakho tum dar apna, hum aatay hain abhi…
|
|
| |
| Har Inkaar Tere Ikraar Se Aacha Hoga |
|
Har Inkaar Tere Ikraar Se Aacha Hoga
Mera Har Din Teri Us Raat Se Aacha Hoga
Na Ho Yaqeen To Jhaak Lena Apni Doli Se
Mera Janaza Teri Baarat Se Aacha Hoga
|
|
| |
| Khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain |
|
Lamhay judai k be qarar kertay hain,
Halaat meray mujhey lachaar kertay hain,
Aankhain meri parh lo kabhi,
Hum khud kaisay kahain k aap say pyar kertay hain.
|
|
| |
| Door na jaaya karo dil tarap jaata hai |
|
Door na jaaya karo dil tarap jaata hai
Tere hi khayalon me din guzar jaata hai
Aaj pucha hai dil ne ek sawal tumsey
Kya dur rehker tumko bhi hamara khayal ata hai?
|
|
| |
| Kabhi kabhi in ankhon main nami si hoti hai |
|
Kabhi kabhi in ankhon main nami si hoti hai
Kabhi kabhi in honto pe hansi si hoti hai
Ae dost woh tum hi ho jis say
Meri zindgi, zindgi si hoti hai
|
|
| |
| Phool juda hai kanton se |
|
Phool juda hai kanton se,
Khushbu se nahi,
Hum juda hai unse,
Magar dil se nahi.
|
|
| |
| Dosti dil hay demagh nahi, |
|
Dosti dil hay demagh nahi,
Dosti soch hai awaz nahi,
Koi ankhon say nahin daikh sakta dosti ka rishta,
Kion k, dosti ehsas hay andaaz nahi.
|
|
| |
| Dunya Jise Neend Kehti Hai… |
|
Dunya Jise Neend Kehti Hai…
Jane Vo Kya Cheez Hoti Hai…
Aankhain to Hum Bhi Bund Karte Hain….
Par Vo Aapse Milne Ki Tarkeeb Hoti hai…….
|
|
| |
| Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua |
|
Dheere dheere se ab tere pyaar ka dard kam hua,
Na tere aane ki khushi hui aur na jaane ka gam hua,
Jab log mujhse puchte hain hamari pyar ki dastaan,
Main keh deta hun ki ek fasana tha jo ab khatm hua.
|
|
| |
| Safaid saari par jab tum laalbindi lagati ho |
|
Safaid saari par jab tum laalbindi lagati ho
khuda ki kasam ambulance nazar aati ho
farq sirf itna hai ke wo ghayal ko le jati hai
or tum achay bhalay ko ghayal kar jati ho
|
|
| |
| Wo khush naseeb hain k unhe auron ka pyar mila |
|
wo khush naseeb hain k unhe auron ka pyar mila,
hum apni takdeer say lartay reh gaye,
hum to unki yaadon ko bhi samait na paaye,
wo hamaray ashqon k zariye beh gaye…….
|
|
| |
| Apko dekh kar dekhta reh geya |
|
Apko dekh kar dekhta reh geya
kiya kahoon or kehne ko kiya reh geya.
Andhiyon k iraday to achay na thay
yeh diya janay kaise jalta reh geya…
|
|
| |
| Mere ashqon ka har qatraa, |
|
Mere ashqon ka har qatraa,
Tere Mohabbat ki nishaani hai,
Jo tu samjhe to moti hai,
Tu na samjhe to paani hai
|
|
| |
| durr kahin wadi main rahta hai woh! |
|
durr kahin wadi main rahta hai woh!
har lamha khayal main rahta hai woh!
kaisa hai woh kis haal main hai woh!
dil kay har sawal main rahta hai woh!
|
|
| |
| Taras gaye aapke deedar ko |
|
Taras gaye aapke deedar ko,
Dil phir bhi aap k liye dua karta hai,
Hum se to acha aap k ghar ka aaina hai,
Jo rooz aapko dekha to karta hai…
|
|
| |
| Badban khulnay say pehlay ka ishara dekhna |
|
Badban khulnay say pehlay ka ishara dekhna
Main samandar dekhta hoon tum kinara dekhna
Yoon bicharna bhi buhat asan na tha tum sa magar
Jatay jatay uska woh murd ker dobara dekhna.
|
|
| |
| Meri dua hai tum naik seerat ho |
|
Meri dua hai tum naik seerat ho
Tera dil teri tarhan khoobsurat ho,
Mil jaye har cheez tujhay dua say pehlay
khud dua ko tere hathoon ki zaroorat ho
|
|
| |
| Aik zara si bhool khata ban gayai |
|
Aik zara si bhool khata ban gayai
Meri wafai hi meri saza ban gayai,
Dil liya aur khail ker tor diya,
Hamari jaan gayai unki ada ban gayai
|
|
| |
| Pyar ka dard meetha hota hay |
|
Na janay tum pay itna yaqeen kion hay?
Tera khayal bhi itna haseen kion hay??
Pyar ka dard meetha hota hay…
to aankh say nikla yeh ansu namkin kion hay?
|
|
| |
| Sirf tere liyay rabta rakhon |
|
Laho main rang ki tarah basa hay tera khayal
Main kis tarah teri yaadon say fasla rakhon…
Kisi bhi shakhs say koi gharz nahi mujh ko
Main sirf teray liyay sub say raabta rakhon…
|
|
| |
| Hamain bhula na dena |
|
Nazar Mila ker hum
say nazar chura na lena,
Dost bun ker
hum ko gawan na daina,
Mana k hum door hain aap say..,
Is baat ko bahana
bana ker humain bhula na dena…
|
|
| |
| Kaisa dard diya hay tumne |
|
Na tasveer hay tumhari jo DEEDAR kia jaye,
Na tum ho paas jo PYAR kia jaye,
Yeh kaisa dard diya hay tum nay,
na kuch KAHA jaye na tum bin RAHA jaye..
|
|
| |
| Ashiq ban gaya |
|
Ashik ban gaya,Mat karo waar,
Bura nahee ye pyaar,Bura hai intezaar.
Letter diyaa to, Thappad mat maro yaar,
Bura nahee ye ikraar,Bura hai inkaar.
Sharaabee bana to,Mat dalo ilzaam,
Bura nahee ye jaam,Bura hai anjaam.
|
|
| |
| Pholon ki wadi main ho basera AAP ka |
|
Pholon ki wadi main ho basera AAP ka
Sitaronk angan main ho ghar AAP ka,
Dua hay aik ek dost ki ek dost k liye,
Aap say bhi khobsorut naseeb ho AAP ka,
|
|
| |
| Teri dosti hum es tarah nibhain gay, |
|
Teri dosti hum es tarah nibhain gay,
Tum roz khafa hona hum roz manain gay,
Per maan jana manany say,
Werna yeh bheegi palkain lay k kahan jayaingay
|
|
| |
| Ab na koshish karenge unhe bulane ki |
|
Ab na koshish karenge unhe bulane ki,
jinki adat hai bin baat rooth jaane ki.
vo chahe to bhool jayein humein sapna samaj kar,
magar hamein adat nahin apno ko dil se bhulane ki.
|
|
| |
| Unhone Apna Kabhi Banaya Hi Nhi, |
|
Unhone Apna Kabhi Banaya Hi Nahi,
Jootha Hi Sahi Pyar Dikhaya Hi Nahi.
Galtiyan Apni Hum Maan Bhi Jaatey,
Par Kya Kare Kasoor Hamara Hume Bataya Hi Nahi.
|
|
| |
| Tanhaayiyon kay shehar mein ikk ghar banaa liya |
|
Tanhaayiyon kay shehar mein ikk ghar banaa liya,
Rusvaayiyon ko apna mukaddar banaa liya,
Dekha hai yahan pathar ko poojtay hain loag,
Iss liye apnay dil ko ham nay pathar banaa liya,
|
|
| |
| Ek Khushi ki chaah main |
|
Ek Khushi ki chaah mai har khushi se dur huye hum…
Kisi se kuch keh bhi na sake itne majbur huye hum..
Na aayi unhe nibhaani pyar mai wafaa…
Aur jamaane ki najar bewafa ke naam se mashur huye hum…
|
|
| |
| Ho nahi sakta mujhe teri yaad na aaye |
|
Ho nahi sakta mujhe teri yaad na aaye,
bhul k bhi tujhe bhulun wo ehsaas na aaye,
tu bhule to teri marzi,
MAIN bhulu to agli saans na aaye..
|
|
| |
| Muje dard-e-ishq ka maza malum hai |
|
Muje dard-e-ishq ka maza malum hai,
Dard-e-dil ki inteha malum hai,
Zindgi bhar muskrane ki dua na dena,
Mujhe pal bhar muskrane ki saza malum hai.
|
|
| |
| Usne khoya wo jo sirf usi ka tha |
|
Thukra ke usne mujhko,kaha ki muskuraao!
Main hass diya kiyo ki ,sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha..
|
|
| |
| Kaash koi hum par bhi pyar jatata |
|
Kaash koi hum par bhi pyar jatata,
Hamari aankhon ko apne haathon se chhupata.
Hum jab poochte kaun ho tum?
Muskura kar woh apne aapko hamari jaan batata.
|
|
| |
| Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan |
|
Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
|
|
| |
| Ae zindagi tujh say ab na main kar paungaa wafaa |
|
Ae zindagi tujh say ab na main kar paungaa wafaa,
Ab apnay bandhanon say mujhay tu azaad kar day,
Galti say kuchh phool meray daaman mein aa giray thay,
Wapas tu lay lay inko aur iss mein kantay tu bhar day,
|
|
| |
| Waqt ki ho doop ya ho tez aandhiyan |
|
Waqt ki ho doop ya ho tez aandhiyan,
kuch kadmo k nishan kabhi nahi khotay.
Jinhe yaad karke muskura de aankhainn,
wo log door ho kar bhi door nahi hotay.
|
|
| |
| Jinho nay khaa rakhi hai kasam mujh ko mitaanay kee |
|
Jinho nay khaa rakhi hai kasam mujh ko mitaanay kee,
Phir bhi unhi say pyaar kar raha hun main,
Maloom hai na aayegi kabhi waqt say pehlay,
Phir bhi apni maut ka intezaar kar raha hun main,
|
|
| |
| Aankho se barsat hoti hai |
|
Aankho se barsat hoti hai,
jab apki yaad sath hoti hai.
Jab b busy rahe mera mobile,
samjh lena apki salamti k liye
meri khuda se baat hoti hai.
|
|
| |
| Mohabat ki ye baat yaad aye tujhe |
|
Mohabat ki ye baat yaad aye tujhe,
choo k na guzre gham ki hawayein tujhe.
Mera kya hai mein khak bhi ban jaun,
meri mitti bhi degi duayein tuje.
|
|
| |
| Humari ghaltion ko bhulaate rehna |
|
Humari galatiyon ko bhulaate rehna,
Zindagi bhar dosti nibhaate rehna.
Agar hum na chal sake aap ke saath
to aap hi kadam se kadam milaate rehna.
|
|
| |
| Bina uske na ji payenge hum |
|
Bina uske na ji payenge hum,
uski parchai ban k zindagi bitayenge hum,
dur jane ka mujhse sochna bhi mat,
uske itna sochne se hi mar gaye hai hum.
|
|
| |
| ISHQ wahi hai jo ho ektarfa |
|
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,
IZHAR e ishq to khwahish ban jaati hai.
HAI agar ishq to aankho mein dekho ,
ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai.
|
|
| |
| Ye waqt lamhe guzar jayenge |
|
Ye waqt lamhe guzar jayenge,
zindgi Me Kuch kho kar Kuch payenge.
aaj hum qareeb hain kal dur ho jayenge,
per vada raha roz apki yadon me zaroor ayenge.
|
|
| |
| Mohabbat me kya imtihaan aa giya |
|
Mohabbat me kya imtihaan aa giya,
roz haste hue chehre ko udas bana diya.
Kabhi lutate the ham mohabbat yun hi,
aaj khuda ne hame hi mohabbat ka mohtaj bana diya.
|
|
| |
| Zindagi ki raho pe jab aage jaoge |
|
Zindagi ki raho pe jab aage jaoge,
Peeche ek saya tum hardam paoge,
Mud k dekhoge to tanhai hogi,
Agar mahsoos karoge to humko paoge.
|
|
| |
| Kisi ko meri yaad aye ek arsa hua |
|
Kisi ko meri yaad aye ek arsa hua,
koi hai hairan to koi tarsa hua.
Is tarah khamosh hain ye dil ye aankhe meri,
Jaise khamosh ho koi badal barsa hua.
|
|
| |
| Raat guzri phir mehekti subah ayi |
|
Raat guzri phir mehekti subah ayi,
dil dharka phir tumhari yaad ayi,
aankhon ne mehsoos kiya uss hawa ko,
jo tumhe chhu kar hamare pass ayi.
|
|
| |
| Mitti meri kabr se churata hai koi |
|
Mitti meri kabr se churata hai koi,
mar kar bhi yaad ata hai koi,
ae khuda ek pal ki jindagi aur de mujhe,
udas meri kabr se jata hai koi
|
|
| |
| Dil to Jalkar rakh ho gaya |
|
Dil to Jalkar rakh ho gaya,
magar in ankho se roya na gaya,
kuch zakhm judai ke aise mile k
phoolon ke bister pe bhi soya na gaya.
|
|
| |
| Log har manzil ko mushkil samajhte hai |
|
Log har manzil ko mushkil samajhte hai,
ham har mushkil ko manzil samajhte hai.
Bada fark hai log aur hamare nazarie me,
log dil ko dard aur ham dard ko dil samajhte hai..
|
|
| |
| Raat ko raat ka tohfa nahin dete |
|
Raat ko raat ka tohfa nahin dete,
dil ko jazbat ka tohfa nahin dete,
hum to tumhe chand bhi de dete,
lekin chand ko chand ka tohfa nahin dete.
|
|
| |
| Yaaden teri rakh di hai sambhal kar |
|
Yaaden teri rakh di hai sambhalkar,
Dur kahi is dil se nikalkar.
Sab kuch to vapas le liya hai aapne dur jaakar,
in yaadon ko bhi le jana kisi roz aakar..
|
|
| |
| Door hokar bhi paas nazar ayenge. |
|
Khushbu ki tarah aapke paas bikhar jayenge,
Sukoon bankar dil mein utar jayenge,
Mehsus karnay ki koshish kijiye,
dur hokar bhi paas nazar ayenge.
|
|
| |
| Bewaja kisi ko sataya nahi karte |
|
Bewaja kisi ko sataya nahi karte,
had se ziyada kisi ko tarpaya nahi karte,
jinki sansain chalti ho apke sMs se,
unhe apne sMs k liye rulaya nahi karte. . .
|
|
| |
| Jitna pyar paya hai tumse |
|
Jitna pyar paya hai tumse.
Ussse aur zyada pane ko jee chahata hai.
Jane who kaun se khoobi hai aap mein
ki har rishta aapse banane ko jee chahata hai..
|
|
| |
| Meray paon main zanjeer nazar ayai |
|
Jub jab aap say milnay ki umid nazar ayai,
Meray paon main zanjeer nazar ayai,
Gir paray aason aakhon say or,
her ek aasun main aap ki tasveer nazar ayai
|
|
| |
| Intezar to sab kartay hain |
|
Jo hud say na guzar jaye wo pyar hi kiya
Jo pyar karnay pay majboor na kar day wo iqrar hi kia,
Intezar to sab kartay hain,
saansain tootnay tuk Jo sath na day woh yaar hi kia
|
|
| |
| Guzray hain hum kuch aisay muqam say |
|
Pee hay sharab her gali her may khanay say,
Aik dosti si ho gayai hay sharab k jaam say,
Guzray hain hum kuch aisay muqam say k,
Nafrat si ho gayai hay mohabbat k naam say…
|
|
| |
| Waqt aane par wafadar badal jate hain. |
|
Yeh sach hai k Aa jata hai shohrat ka Asar..
insaan to kiya dar-o-deewar badal jate hain..
Aur bewafa badle ya naa badle..
Waqt aane par wafadar badal jate hain.
|
|
| |
| Pyar to pal bhar main ho jaata hay |
|
Kisi ko apna bananay main dair lagti hay,
Aik wada nibhanay main dair lagti hay,
Pyar to pal bhar main ho jaata hay,
Magar usay bhulanay main dai lagti hay….
|
|
| |
| Ab un raho se guzra nahi jata |
|
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
|
|
| |
| Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay |
|
Phool khiltay hain baharon ka sama hota hay,
Aisay mousam main tou pyaar javaan hota hay,
Dil ki batoon ko to honton say nahin kehtay,
Yeh afsana to nigahon say bayan hota hay….
|
|
| |
| Kion hain khafa yeh bayan to kijiye |
|
Is qadar hamari chahat ka imtehan na lijiye,
Kion hain khafa yeh bayan to kijiye..
Kar dijiye maaf agar ho gayai hum say khata,
Youn khamosh reh kar hamain saza na dijiye….
|
|
| |
| Saza khoob mili tum say dil laganay ki |
|
Saza khoob mili tum say dil laganay ki,
Nazar lagi hay meray pyaar ko zamanay ki..
Ab to qabar main say bhi nikal k kehtay hain meray haath,
Hamain tou hasratain reh gayain tum galay laganay ki
|
|
| |
| Likh sakte kisi ki taqdir agar hum. |
|
Likh sakte kisi ki taqdir agar hum.
Aapki taqdir mein har khushi likh dete.
Jo mod aapko kamyabi dilaye.
har lakeer ko ussi taraf mod dete.
|
|
| |
| Sambhalay rakhna us amanat ko |
|
Aye khuda teri mehfil me
haath uthaye fariyaad karte hai,
sambhalay rakhna us amanat ko
jise hum tanhai me yaad karte hai.
(’_')
|
|
| |
| Yeh samjhlo k dil tootne ka khel hai |
|
Jisne humko chaha,use hum chah na sake.
Jisko chahte the,use hum pa na sake.
Yeh samjhlo k dil tootne ka khel hai,
kisi ka toda aur apna bacha na sake.
|
|
| |
| Koi gila, koi shikwa na rahe aapse |
|
Koi gila,koi shikwa na rahe aapse,
yeh aarzoo hai k silsila rahe aapse,
bas is baat ki badi umeed hai aapse,
khafa na hona agar hum khafa rehein aapse.
|
|
| |
| Pehchaan lena agar kahi hum mile aapse |
|
koi gila na koi shikwa rahe aapse…
ye aarzo hai ek silsila bana rahe aapse…
bas ek baat ki bari umeed hai apse…
pehchaan lena agar kahi hum mile aapse…
|
|
| |
| Us ki yaadon main |
|
Us ki yaadon main,
Us ki baaton main,
Kahin mera aqs bhi jhilmilata hoga,
Lakh masroof hoga,
Apnay kamoon main,
Phir bhi hamain soch ker
kabhi to muskurata ho ga.
|
|
| |
| ek hissa hume bhi banaye rakhna |
|
Hume apne dil mein basaye rakhna,
hamari yaadon k chirag jalaye rakhna,
bahut lamba hai safar zindagi ka mere döst,
ek hissa hume bhi banaye rakhna.
|
|
| |
| Palkon me qaid kuch sapne hain |
|
Palkon me qaid kuch sapne hain…
kuch begane kuch apne hain…
na jane kya KASHISH hay in khayalon main…
woh ghair hoke bhi kitne apne hain…
|
|
| |
| jo khud gulab hai usko kya gulab dun |
|
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi acha sa phool hota to mali se mangwate,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…
|
|
| |
| chand kisi aur ka ho gaya |
|
Arz hai:
Dil ke angan se chand ka didar ho gaya,
mai dewana ho gaya,chand badalo mai kho gaya,
maine badal hatne ka intjar kiya,
tabtak chand kisi aur ka ho gaya..
|
|
| |
| Rahtey hain jo nigaho se door |
|
ye dosti ke rishte bhi kitne ajeeb hote hai…
sab apne apne naseeb hote hain..
rahtey hain jo nigaho se door..
wahi dil ke kareeb hote hain
|
|
| |
| Pyar chupta nahi ankhen chupane se |
|
Arz hai
pyar chupta nahi ankhen chupane se,
dil rukta nahi kisi k samjane se.
Ruk jati hai dhadkan tujhe bhul jane se,
hum tujhe yaad karte hai jeene k bahane se.
|
|
| |
| Har shakal bus teri hi nazar aati ha |
|
Tumhari hansi ki ek nazar yaad aati hay,
Zindagi ki har shaam subah nazar aati hay,
Jab say daikha hay tujhey dil ki aankhon say,
Har shakal bus teri hi nazar aati ha..
|
|
| |
| Meri har ek dhakan aap ke liye hai |
|
Meri har ek dhakan aap ke liye hai,
Meri har ek muskuraht aap ke liye hai,
Aap ki ada mere dilko churane ke liye hi hai,
Ab toh meri yeah zindagi aap ke intezaar ke liye hai!!!
|
|
| |
| Aana hai agar toh meri zindagi swaarne aaja |
|
Haalat pay meri hasnay hasaney aaja,
jhooti hi sahi par sachi ansoon bhane aaja
khuwab ko kiya sajana,woh toh bhikar gaye
ana hai agar toh meri zindagi swaarne aaja!
|
|
| |
| Yaad ban kar tumhe rulate rahenge |
|
hum farz-e-dosti yuhi nibhate rahenge,
waqt bewaqt yuhi satate rahenge,
dua karo ki umar bahut lambi ho humari,
nahi to yaad ban kar tumhe rulate rahenge.
|
|
| |
| Lamha lamha intezar kiya us lamhe k liye |
|
Lamha lamha intzar kiya us lamhe k liye
or woh lamha aya bhi to bus ek lamhay k liye,
guzarish yehi hai khuda se k kash
woh lamha phir aye 1 lamhe k liye.
|
|
| |
| Mujhse milne k liye tu bhi beqarar |
|
Koi wada nahi phir bhi tera intazar hai,
judai ke bawajood bhi tujse pyar hai,
tere chahere ki udasi day rahi hai gawahi,
mujse milne ke lia tu bhi beqarar..
|
|
| |
| Dhoop hoti hai suraj sey |
|
Dhoop hoti hai suraj sey,
jalna zameen ko partaa hai,
mohobbat hoti hai aap sey,
tarapna hum ko parta hai..
|
|
| |
| Hasraton ki nigahon pe sakth pehra hai. |
|
Hasraton ki nigahon pe sakth pehra hai.
Na jane kis umeed pe dil thehra hai.
Teri chahat ki qasam ae dost,
apni dosti ka rishta pyar se bhi gehra hai…
|
|
| |
| Unki tasveer ko seenay se laga lete hain |
|
Unki tasveer ko seenay se laga lete hain,
is tarah judai ka gham mita lete hain,
kisi tara kabhi unka ziker ho jaye to,
bheegi palko ko juka lete hain..
|
|
| |
| Ai muhabbat tere anjam pey rona aaya |
|
Ai muhabbat tere anjam pey rona aaya,
Jane kyu aaj tere naam pe rona aaya,
Kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gham,
Manzile ishq mein har gaam pe rona aaya…
|
|
| |
| Bas aapki ek jhalak nahin milti |
|
Aapke khayalon say fursat nahi milti,
hame ek pal ki raahat nahin milti…
mil to jata hai sab kuch..
bas aapki ek jhalak nahin milti.
|
|
| |
| Apnon k sitam hamsay bataye nahin jatay |
|
Apnon k sitam hamsay bataye nahin jatay,
Yeh hadsay woh hain jo samjhaye nahin jatay,
Aik umer ki koshish say bhula di hay teri yaad,
Laikin teri yaad k sayai nahin jaatay…
|
|
| |
| Aap ko pyaar k andaaz hi kam aatay hain |
|
Muskuratay hoi ankhon main sanam aatay hain,
Aap kia janain kahan say mere gham aatay hain,
Aap ko hum say pyar main shikayat kia ho gi,
Aap ko pyaar k andaaz hi kam aatay hain…
|
|
| |
| Kya zamana tha hum roz mila karte thay |
|
Kya zamana tha hum roz mila karte thay,
Raat bhar chand k hamrah chala karte the,
Dekh k jo hamain chup chap guzar jata hai,
Kabhi is shakhs sey hum pyar kiya karte the.
|
|
| |
| Shayari main dimagh nahin dil zarori hay |
|
Shayari main dimagh nahin dil zarori hay,
Kuch jigar ka khoon ho shamil zarori hay,
Sirf lafzon ki tukbundi shayari nahin hoti,
Shair ho dil pay lagnay k qabil zarori hay…
|
|
| |
| Zindagi nahin hamain doston say pyari |
|
Zindagi nahin hamain doston say pyari,
Doston pay hazir hay jaan hammari,
Ankhon main hamaray ansu hain to kia,
Jaan say bhi pyaari hay muskaan tumhari..
|
|
| |
| Ek terey aanay say pehlay aik teray janay k baad |
|
La pila day saqi paymana paimanay k baad,
Host ki batain karonga hosh main aanay k baad,
Waqt do hi zindagi main guzray hain kathin,
Ek terey aanay say pehlay aik teray janay k baad
|
|
| |
| Woh bhi hume yaad kare zarori to nahi |
|
Zindagi sabko milay zaroori to nahi,
mohabat sabko milay zaroori to nahi.
Kuch log bahut yaad aate hain,
woh bhi hume yaad kare zarori to nahi.
|
|
| |
| Har taraf noor hai khusboo hai |
|
Har taraf noor hai khusboo hai
Teri ankhon mein kaisa jadoo hai
Sari duniya hai meri jholi mein
Aur duniya meri bas tu hai
|
|
| |
| Kisne kaha judai hogi |
|
Kisne kaha judai hogi,
Kisi ghair ney yeh khabar urai hogi,
Barey shaan sey rahenge hum aap k dil mein,
Itne dino me kuch to jagah banai hogi..!
|
|
| |
| Sooni zindagi me halchal mehsoos hui |
|
Sooni zindagi me halchal mehsoos hui,
bejan dil me dharkan mehsos hui,
janey kion aaj aisa laga,
shayad tumhari kami mehsoos hui.
|
|
| |
| Agar zuban pey sharm-o-haya ka pehra tha To |
|
Pilana farz tha kuch bhi pila diya hota,
Sharab kam thi to pani mila diya hota,
Agar zuban pey sharm-o-haya ka pehra tha To,
Muskura key sar hi hila diya hota..
|
|
| |
| Bund aankhon me nazar aayenge |
|
Aansuon mein na dhoondna hamein,
Dil me hum bas jaayenge!
Tamanna ho agar milne ki,
to bund aankhon me nazar aayenge!!
|
|
| |
| Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai |
|
Apke aane se zindagi kitni khubsoorat hai,
Dil me basayi hai jo woh apki hi surat hai,
Dur jaana nahi humse kabhi bhulker bhi,
Hume har kadam per aapki zarurat hai.
|
|
| |
| Badalna aata nahi humko mousamon ki tarah |
|
Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah
Har ek roop main tera intezaar karte hain
Na tum samet sakogi jise qayamat tak
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.
|
|
| |
| Ajeeb si kashish hai aap me |
|
Ajeeb si kashish hai aap me
Ki hum aap k khayalon me khoye rehte hai…
Ye soch kar k aap khawabo me aao ge
Hum din bhar soye rehtay hain.
|
|
| |
| Hum aap ko kabhi khoney nahin denge |
|
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
Chandni raton mein aye gi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.
|
|
| |
| Tumhare rooth jaane ke baad. |
|
Royengi ye aankhein muskuraane ke baad,
Aayegi raat din dhal jaane ke baad,
Tum kabhi naa ruthnaa mujhse ae yaar,
Shayad ye zindagi hi na ruth jaaye,
Tumhare rooth jaane ke baad.
|
|
| |
| Nakaam si koshish kiya karte hain |
|
Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hai ke unse pyar kiya karte hain.
Khuda ne taqdeer mein 1 tuta taara nahi likha,
Aur ek hum hai ke chand ki aarzu kiya karte hain!
|
|
| |
| Zindagi ka asli mukam abhi baki hai |
|
zindagi ka asli mukam abhi baki hai,
hamare iradon ki imtihan abhi baqi hai,
abhi to naapi hai muthi bhar zameen,
aage sara asman baki hai…
|
|
| |
| Mushkil hota hai jawab dena |
|
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai
|
|
| |
| Qatal karne ke liye teri muskaan hi kafi hai |
|
Jeene ke liye tera armaan hi kafi hai,
Dil ke qalam se likhi yeh dastaan hi kafi hai,
Teer ki kya zaroorat e-janam,
Qatal karne ke liye teri muskaan hi kafi hai
|
|
| |
| Is duniya mein dost kam milenge |
|
Is duniya mein dost kam milenge,
is duniya mein gham hi gham milenge,
jahan duniya nazar phair legi,
us mod per dost tumhe hum milenge.
|
|
| |
| Zubaan se naam lete hain |
|
Zubaan se naam lete hain,
Aankhon se aansu chalak jaate hain.
Kabhi hazaro baatein kiya karte the,
Aaj ek baat ke liye taras jaate hai.
|
|
| |
| Zaruri to nahi jine k liye sahara ho |
|
Zaruri to nahi jine ke liye sahara ho,
Zaruri to nahi hum jinke hain who humara ho,
Kuch kashtiya dub bhi jaya karti hai,
Zaruri to nahi har kashti ka kinara ho.
|
|
| |
| Yeh mat sochna bhool jayenge tumhe |
|
Yeh mat sochna bhool jayenge tumhe,
Door rehkar bhi chahenge tumhe,
Agar dost banker raas na aaye,
To ajnabee banker bhi yaad aayenge tumhe.
|
|
| |
| Sirf chahne se mulakat nahi hoti |
|
Sirf chahne se mulakat nahi hoti,
Suraj k saath kabhi raat nahi hoti,
Hum jise chahete hai jaan se bhi ziyadah,
Saamne hote hain, par baat nahi hoti.
|
|
| |
| Zindagi mohtaj nahi manzilon ki |
|
Zindagi mohtaj nahi manzilon ki,
Waqt har manzil dikha deta hai.
Marta nahi koi kisi se juda hoke,
Waqt sabko jina sikha deta hai.
|
|
| |
| Haqiqat samjho ya afsana |
|
Haqiqat samjho ya afsana;
Begana kaho ya deewana;
Suno mere dil ka fasana;
Teri dosti hai mere jeene ka bahana.
|
|
| |
| Aap apna Inbox khali rakhna |
|
Kadam kadam pe hawao se talukh rakhna,
Dosti ke naam pe dosti ka asra rakhna.
Hamari dosti ki khusbu zarur aayegi.
Aap apna INBOX khali rakhna.
|
|
| |
| Nannay sey dil me armaan koi rakhna |
|
Nannay sey dil me armaan koi rakhna,
Duniya ki bheer main pehchan koi rakhna.
Achey nahi lagtey jab rahtey ho udas,
In hoto pe sada muskaan wohi rakhna.
|
|
| |
| Zindagi kisi ki amanat nahi hoti |
|
Zindagi kisi ki amanat nahi hoti,
Amanat main kabhi kayamat nahi hoti,
Dil ko sambhal kar rakhna,
Meri dosti ki qaid main zamanat nahi hoti.
|
|
| |
| Totay howay paimanay main jaam nahin aata |
|
Totay howay paimanay main jaam nahin aata,
Ishq k mareez ko araam nahin aata,
Aey dil tornay walay tuney yeh to socha hota,
Toota howa dil kisi k kaam nahin aata.
|
|
| |
| Apni bay basi kis tarah kahain |
|
Aankhon ki zuban woh samajh nahin patay,
Hont magar kuch bhi keh nahin paatay,
Apni bay basi kis tarah kahain,
Koi hay jis k bina hum rah nahin patay.
|
|
| |
| Hamain aap yun hi sharabi na kahiye |
|
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
Hamain aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!
|
|
| |
| Hum kisi aur k na ho sakain gay |
|
Jaisay aap hamaray na ho sakay thay
Hum kisi aur k na ho sakain gay,
Pyaar nahin kia apna dil diya hay
Ek pal bhi aap ko bhula na sakain gay…
|
|
| |
| Aapko bhulanay main shayud hamain zamana lagay |
|
Aap k shahar ka har housam suhana lagay,
Ek shaam chura loon aap ki agar bura n lagay,
Aap chahay bhula dain hamain ek pal main hi,
Aapko bhulanay main shayud hamain zamana lagay…
|
|
| |
| Patharon say tha apna rishtaa |
|
Apnay dushman say hi dil laga baithay,
Unki saadgi say faraib kha baithay,
Patharon say tha apna rishtaa,
Phir bhi sheeshay k ghar bana baithe..
|
|
| |
| Na neend ayai na khuwab koi |
|
Bohat khushnuma kal ki raat guzri hai,
Kuch tanha, per kuch khaas guzri hai,
Na neend ayai na khuwab koi,
Bus aap hi k khayalon k saath guzri hai,
|
|
| |
| Aap k chehre ko gulab likhoonga |
|
Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga,
Apni zindagi per kitaab likhoonga,
Aapki gardan(neck) ko phoolon ki tehni,
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.
|
|
| |
| Pura din guzarane ko hai dost |
|
Badal garaja magar barsaat nahi aayi,
Dil dharka magar aawaz nahi aayi,
Pura din guzarane ko hai dost,
kya ek baar bhi meri yaad nahi aayi?
|
|
| |
| ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki |
|
jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
afsaana likhoon aur aapka naam na aaye.
|
|
| |
| Kaash tum zindagi main ayai hi na hotay |
|
In ankhon main aansu ayai na hotay,
Agar tum pichay mur ker muskuraye na hotay,
Tumharay jaanay k baad yeh ghum hota hay,
Kaash tum zindagi main ayai hi na hotay….
|
|
| |
| Aap samandar ki baat karate hai |
|
Kaun yaad rakhata hai naamko,
Log to cheharon ko bhi bhul jaate hai,
Aap samandar ki baat karate hai,
Log to aankhon me bhi duub jaate hai !!!
|
|
| |
| Phir laut kar college ke zamane nahi aate |
|
Hoton pe dosti ke fasaane nahi aate,
Saahil pe samandar ke khazaane nahi aate.
Udne do parindo ko abhi shokh hawa main,
Phir laut kar college ke zamane nahi aate.
|
|
| |
| Agar isi tarah bhool hi jaana tha |
|
Kaash woh naghmay hamain sunaye na hote,
Aaj unko sun kar yun aansu aaye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.
|
|
| |
| kehte hain uss daur ko dosti |
|
Kuch rishte anjaane mein ho jate hai
pehle dil phir zindagi se jud jate hai
kehte hain uss daur ko dosti
jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai
|
|
| |
| Eid k din masjid ke paas se |
|
Na guzarna Eid k din masjid ke paas se,
kahin log chand samajhkar apna roza na tod den…
aur ho ke khafa khuda aap se..
kahin khubsurat log banana na chor dey
|
|
| |
| Jeena to paray ga hi kaisay bhi pyaray |
|
Zindagi ki kashti kab lagay, koon say kinaray,
Kab isay milay gi, man chahi baharain,
Jeena to paray ga hi kaisay bhi pyaray,
Kabhi doston ki bheer main, to kabhi tanhai k saharay
|
|
| |
| Kia usay bhi hamara khayal aata hai |
|
Fursat main jub kabhi wo yaad aata hai,
Dil main sirf aik hi sawal aata hai,
Yaad kartay hain jisay hum..!!!
kia usay bhi hamara khayal aata hai
|
|
| |
| Dosti ka asar zara dair say hota hay |
|
Kabhi kabhi aisa bhi hota hay,
Dosti ka asar zara dair say hota hay,
Aap ko lagta hai hum kuch nahin sochte ap k bare main.
Per hamari her baat main aap ka hi ziker hota hai..
|
|
| |
| Daman bhi chota lagnay lagay |
|
Muskurahaton say bhari ho zindagi,
Chahaton say bhara ho har pal,
Daman bhi chota lagnay lagay,
itni khushian day aapko her aanay wala kal..
|
|
| |
| Tu qasam say umer bhar muskurao gay |
|
Yun ainon say kab tak dil behlao gay,
Jab andhera hoga khud ko tanha paogay,
Hum jesa koi dost rahey agar tumhare sath,
Tu qasam say umer bhar muskurao gay..
|
|
| |
| Dil me har raaz daba k rakhte hain |
|
Dil me har raaz daba k rakhte hain,
Honto pay muskan saja k rakhtey hain,
Ye duniya sirf khushi main saath deti hay,
Is liye hum apne aanso chupa k rakhte hain…
|
|
| |
| Dil ko dil se churaya aap nay |
|
Hamar dil ko dil se churaya aap nay,
Door hotay howay bhi apna banaya aap nay,
Kabhi bhi na bhool pain gay aap ko,
Kiyon k yaad rakhna bhi sikhaya aap nay!
|
|
| |
| Har ghari mujhey aap ki parwah rehti hai |
|
Dil k labon pay aik dua rehti hai,
Har ghari mujhey aap ki parwah rehti hai,
Khuda har sukh zindagi ka kare atta aap ko,
Har dua main meri yeh iltija rehti hai,
|
|
| |
| khilta hua phool khusbo de aapko |
|
Ugta hua suraj dua de aapko,
khilta hua phool khusbo de aapko
hum to kuch dene ke kabil nahi hain,
dene wala hazar khushiyan de aapko..!!
|
|
| |
| Ae dost dosti ki hai humne aapse |
|
Aaj khushiyon ki koi badhai dega,
Nikla hai chand to dikhai dega,
Ae dost dosti ki hai humne aapse,
Aapka ek aansu bhi ghira to sunai dega..
|
|
| |
| Hans kar gum bholana zindagi hai |
|
Hasna zindagi hai,
has kar gum bholana zindagi hai,
jeet kar hanse to kya hanse,
haar kar khushiyan manaana zindagi hai
|
|
| |
| Kisi pey mar mitne wale hum na thay |
|
Kisi ki chahat pe zinda rehne wale hum na the,
kisi pey mar mitne wale hum na thay,
aadat si par gayi tumhe yaad karne ki,
warna kisi ko yaad karne wale hum na thay.
|
|
| |
| Dil ki duniya pe chha gaya koi |
|
Rasm-e-ulfat sikha gaya koi,
Dil ki duniya pe chha gaya koi,
Taa qayamat kisi tarah na bujhe,
Aag aisi laga gaya koi…
|
|
| |
| Zameen per ho magar asmaan jaisa ho |
|
Koi to dost mere zindagi main aisa ho,
phoolon ki tarah ho wafaon jaisa ho,
mere talash ki had us pr khatam ho jayay,
zameen per ho magar asmaan jaisa ho…
|
|
| |
| Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai…! |
|
Khushiyon par fizaon ka pehra hai,
na jane kis umeed pe dil thera hai,
aapki ankhon se jhalakte dard ki kasam,
yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai…!
|
|
| |
| Kia hum kum hain rooshni k liye |
|
Hum jaise dost hotay nahin sab k liye,
Yeh tohfa hai kisi kisi k liye.
Kion jala rakha hai shamma bujha dijiye
Kia hum kum hain rooshni k liye
|
|
| |
| tere gali me tere deed ki khatir |
|
hum to tere har baat bhol chuky the
jane kiyo log tere yaad dilane aye
tere gali me tere deed ki khatir
hum kise our se milne k bahane aye
|
|
| |
| Khud ko khud say ham kalam kar k daikhna |
|
Khud ko khud say ham kalam kar k daikhna,
Kitna mushkil hai yeh kaam ker k daikhna,
Kis qadar udas guzarti hain meri shamain,
Yaad kisi ko kisi shaam kar k daikhna…
|
|
| |
| Hamari maut ki waja bhi tum ho |
|
Hamare muskuranay ki waja tum ho,
Hamari zindagi ka matlab tum ho,
Agar chora saath zindagi main hamara,
to samajh laina k hamari maut ki waja bhi tum ho
|
|
| |
| Jis ka hisaab na ho sakay utnay dard paaye |
|
Tumharay pyaar main ham nay bohot zakham khaye,
Jis ka hisaab na ho sakay utnay dard paaye,
Phir bhi tere pyar ki qasam kha k kehta hon,
Hamaray lab pay tumhare liye sirf pyaar aaye
|
|
| |
| Zakham dainay ka andaz kuch aisa hai |
|
Zakham dainay ka andaz kuch aisa hai,
Zakham day ker pochtay hain ab haal kaisa hai?
Kisi aik say gila kiya karna yaaro,
Saari duniya ka mizaaj aik jaisa hai
|
|
| |
| Qismat rooth gayai |
|
Qismat rooth gayai,
Dil k taar toot gaye,
Aap jo hum say rooth gaye,
Sapnay bhi saray toot gaye,
Baki rahe khazaney main do ansu,
Yaad aap ki ayai, to woh bhi laut gaye
|
|
| |
| Labon ko aisa jaam chahiye |
|
Na gulfaam chahiye,Na salaam chahiye,
Na mubarak ka koi paighaam chahiye,
Jisko pee ker hosh urr jayain,
Labon ko aisa jaam chahiye….
|
|
| |
| Woh ghair ho k bhi kitnay apne hain… |
|
Palkon main qaid kuch sapne hain,
Kuch bayganay kuch apne hain,
Na janay kia kashish hai in khayalon main,
Woh ghair ho k bhi kitnay apne hain…
|
|
| |
| Kabhi kabhi in hoton pe hasi si hoti hai. |
|
Kabhi kabhi in ankhon me nami si hoti hai.
Kabhi kabhi in hoton pe hasi si hoti hai.
E dost wo tum hi ho,
jis se meri zindagi zinda dil hoti hai.
|
|
| |
| Na mila dil ka qadardaan is zamanay main |
|
Na mila dil ka qadardaan is zamanay main,
Yeh sheesha toot gaya hai daikhnay aur dekhanay main,
Gii main aata hai ek roz shamma say pochoon,
Maza kis main hai, jalnay main ya jalanay main…?
|
|
| |
| Har nazar ka milna inpyaar nahin hota… |
|
Har jaga baithna intizar nahi hota,
Har khamoshi ka matlab inkar nahin hota,
Nazrain to har aik say milti hain,
Har nazar ka milna inpyaar nahin hota…
|
|
| |
| Phoolon se bhi khubsurat ho tum. |
|
Mitti ki anokhi murat ho tum,
Zindagi ki ek zarurat ho tum,
Phool to khubsurat hote hai,
Phoolon se bhi khubsurat ho tum.
|
|
| |
| Saaye ki tarah saath rahne wale |
|
Saaye ki tarah saath rahne wale
hamse rishtaa tod gaye,
hakikat me milna mumkin nahi tha
magar khwabon me bhi aana chhod gaye
|
|
| |
| Yaad aate hai to zara kho lete hai |
|
Yaad aate hai to zara kho lete hai
Aansu ankho me uter aye to zara ro lete hai
Nind aakho me aate nahi laken
Aap khuwabon me ayaingay yahi soch kar so lete hai
|
|
| |
| har laash per kafan hota hai…. |
|
Zamin k paap chupanay ko gagan hota hai,
Mann ka paap chupanay ko badan hota hai,
Shayud mar ker bhi paap chupatay hain log,
Esi liye har laash per kafan hota hai….
|
|
| |
| Kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye |
|
Kisi k sapnay kisi kay armaan ban jayen,
Kisi ki hansi kisi ki muskaan ban jaye,
Bay panah pyaar kehtay hain usey,
Jab kisi ki sansain kisi ki jaan ban jaye,
|
|
| |
| Kisi or ko daikh k muskura na sakay |
|
Bohat chaha magar unhain bhula na sakay,
Khalaon main kisi aur ko laa na sakay,
Usko daikh k ansu to poch liye,
Par kisi or ko daikh k muskura na sakay
|
|
| |
| Jab bhi hoi tujh say koi ghalti |
|
Poch lo khuda se tere liye hi ham ne dua mangi,
Pooch lo hawa sey tere liye hi ham nay fiza mangi,
Jab bhi hoi tujh say koi ghalti,
Ham ne dua main apne liye saza mangi
|
|
| |
| Ankhon ki rah say koi dil main utar gaya |
|
Yeh kaun muskura kar idhar say guzar gaya,
Bay noor rastoon main ujala bikhar gaya,
Socha bohut kisi say pyar na ho magar,
Ankhon ki rah say koi dil main utar gaya..
|
|
| |
| Kion karta hai tu ghuroor apne aap pe itna |
|
Ae chand tu bhool jayega apne aap ko,
Jab sunay ga dastaan mere pyaar ki,
Kion karta hai tu ghuroor apne aap pe itna,
Tu to sirf “PARCHAI” hai mere “YAAR” ki…
|
|
| |
| Aise hi nashili nahi teri aankhen |
|
Jab khuda ne tujhe banaya hoga,
ek aadha jaam to usne bhi lagaya hoga..
Aise hi nashili nahi teri aankhen,
jaam ka kuch asar to tere mein bhi aaya hoga…
|
|
| |
| Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata… |
|
Na janay Q hamain ansu bahana nahin aata,
Na janay kion haal-e-dil batana nahin aata,
Kion sathi bichar jatay hain hamaisha hum se,
Shayud hamain hi dosti nibhana nahin aata…
|
|
| |
| Aap to khud aik gulab hain |
|
Kaun sa phool paish karon,
Koi phool gulab nahin,
Aap to khud aik gulab hain,
Jiska koi jawab naheen…
|
|
| |
| Mar gaye ham magar khuli rahein aankhain |
|
Zakham itnay gehray hain izhaar kia karain,
Hum khud nishana ban gaye hain waar kia karain,
Mar gaye ham magar khuli rahein aankhain,
Ab is say ziyadah unka intezaar kia karain…
|
|
| |
| jaise sukhe gulab milte hain kitabo me |
|
barso baad na jaane kaun kaha hoga,
hum dono me se na jaane kaun kaha hoga,
phir milna hua to milenge khwabo me,
jaise sukhe gulab milte hain kitabo me
|
|
| |
| tumhari sath ki umeed karte hai hum |
|
Raat ki tanhai se darte hai hum,
kagaz ki parchhai se darte hai hum,
Duniya sath chale na chale,
tumhari sath ki umeed karte hai hum
|
|
| |
| Bina yaad kiye Raha Nahi jata? |
|
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
|
|
| |
| Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna |
|
Na mile kisi ka saath toh hume yaad karna,
Agar tanha ho kabhi tho mehsus hume karna
Khushiya baatne ko tum dost hazaar rakhna,
Magar gham batna ho toh hume yaad karna.
|
|
| |
| Keh sakain jise hum dil se apna |
|
Kab maine kaha ki Chandi aur Sona chahiye,
Bas aap ke dil mein ek chota sa kona chahiye,
Keh sakain jise hum dil se apna,
Aisa bhi to koi dost hona chahiye.
|
|
| |
| Ishq ki baazi hum haar gayai |
|
Dilon say khailnay ka hunar hamain aata nahin,
Isi liyay ishq ki baazi hum haar gayai,
Meri zindagi se shayud unhain bohut pyar tha,
Isi liyay mujhey zinda hi maar gayai….
|
|
| |
| Falak pey ek aashiyana hamara hota |
|
Kaash main chand tuu taara hota,
Falak pey ek aashiyana hamara hota,
Sub tujhey door bohut door sey daikha kertay,
Par tujhey milnay ka haq sirf hamara hota…
|
|
| |
| Hamain aap yun hi sharabi na kehiye |
|
Kuch nasha to aap ki baat ka hai,
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
Hamain aap yun hi sharabi na kehiye,
Yeh dil per asar to aap se mulaqat ka hai
|
|
| |
| Woh zindagi kia jis main pyar na ho |
|
Woh zindagi kia jis main pyar na ho,
Woh pyar hi kia jis main yadain na hon,
Woh yadain hi kia kis main tum na ho,
Woh tum hi kia jis main hum na hon,
|
|
| |
| Mehfil ko rula daitay |
|
Dil ka dard dil main dabaye rakha,
Koi na mila aisa jis pay duniya luta daitay,
Sab nay diya dhooka kis kis ko bhula daite,
Dil ka dard dil main dabaye rakha,
Bayan kia hota to mehfil ko rula daitay
|
|
| |
| Doorie ho to phir AHSAS hota hai |
|
Doorie ho to phir “AHSAS” hota hai,
“DOST” k bina jeevan “UDAAS” hota hai,
“UMER” ho aap ki sitaron jitni lambi
aisa “DOST” kahan aur kisi k “PAAS” hota hai
|
|
| |
| Ho jao agar zamane say dukhi |
|
Ho jao agar zamane say dukhi,
Bikta hai gham dushman k bazaar main,
Lakhon dard chupay hotay hain,
Ek chotay say inkaar main,
Ho jao agar zamanay say dukhi,
To sawagat hai “wakeel” k darbaar main
|
|
| |
| Ankhon say barsat hoti hai |
|
Ankhon say barsat hoti hai,
Jab bhi aap ki yaad saath hoti hai,
Jub bhi buzy rahe mera mobile,
Tou samajh laina aap ki salamti k liye,
meri khuda say baat hoti hai
|
|
| |
| Moom ki tarha pigalty howe dheka usko |
|
moom ki tarha pigalty howe dheka usko,
rut jo badli to badalty howe dheka usko..
wo jo kanto ko b narmi se chuwa krta tha.
humney phoolo ko masalty howey dheka usko ,
jany wo mangny jata hy duwaoon mai kisy,
hath uthathy he sisikty howe dheka usko
|
|
| |
| Raat si tanha khamoshi hai mere dil mein.. |
|
Raat si tanha khamoshi hai mere dil mein..
Shayad kuch jazbaat ki kami hai iss dil mein..
Pehle to hum harr baat par haste ya rote the..
Par ab shayad koi ehsaas hi nahi hai mere dil mein!!
|
|
| |
| Tujh per ghazal keh doon |
|
Tairi jheel si gehri aankhon
ko jo neel-e-kanwal keh doon,
Duniya jal jayai gi,
jo tujh per ghazal keh doon…
|
|
| |
| Koi humara nahi hota |
|
Dard me koi mousam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
Koi dekhe to humari bebasi,
Hum sabhi k ho jate hain
Par koi humara nahi hota.
|
|
| |
| Auro ko to kya humko bhi tabah kiya |
|
Hasino ne haseen bankar gunaah kiya,
Auro ko to kya humko bhi tabah kiya.
Pesh kiya jab shayari mein humne unki bewafai ko,
Auro ne to kya unhone bhi wah-wah kiya.
|
|
| |
| Lahroon say pani ko hataya nahin jaata |
|
Ghamon main hasnay walon ko rulaya nahin jata,
Lahroon say pani ko hataya nahin jaata,
Bananay walay ban jatay hain apnay,
Kisi ko keh ker apna banaya nahin jata
|
|
| |
| Pyaar apna aakhir chupao ge kab tak |
|
Nazaro se nazar tum churao ge kab tak,
Pyaar apna aakhir chupao ge kab tak,
Mere paigam aapko milte rahainge yuhi sada,
Message meray mitao gey kab tak…
|
|
| |
| Sodagaron k hathon neelam ho jao gay |
|
Mujh say bicher k baynaam ho jao gai,
Sodagaron k hathon neelam ho jao gay,
Mujh ko acha nahin lagta tera her ek say milna,
Her aik ko mayas’sar howay to aa’am ho jao gay
|
|
| |
| Phir bhi aap nay door samajh liya |
|
Khamosh thay hum to magroor samaj liya,
Chup hai hum to majboor samaj liya,
Yehi aap ki khushnasibi hai ke hum itne qarib hain,
Phir bhi aap nay door samajh liya.
|
|
| |
| Hum to apko hi apni jaan mante hai |
|
Aapke sms ko Ehsaan mante hai,
Jawab dena emaan mante hai,
Woh aur hai jo pyaar mein jaan dete hai,
Hum to apko hi apni jaan mante hai.
|
|
| |
| har koi is dil ko churana nahi janta |
|
har koi in honton pe muskan lana nahi janta,
har koi is dil ko churana nahi janta,
ek tum hi to ho jo hum se jeet gaye,
warna har koi humain harana nahi janta.
|
|
| |
| Meri her khushi tere naam hogi |
|
Kahin andhaira to kahin shaam hogi,
Meri her khushi tere naam hogi,
Kuch mang k to daikh humse,
Bijli, pani k bill or qarz main dubi,
Property tere naam ho gi..
|
|
| |
| Kya khamoshi ko bhi zuban dena zaroori hai. |
|
Aapki muskan hamari kamzori hai,
Keh na pana humari majboori hai,
Aap kyun nahi samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko bhi zuban dena zaroori hai.
|
|
| |
| Abhi waqt hai pal do pal sath guzar lo |
|
Lamha lamha waqt guzar jayega,
Rooh ka daman bhi sath chod jayega,
Abhi waqt hai pal do pal sath guzar lo,
Kal kya pata kon kiski zindgi se chala jayega.
|
|
| |
| Jab Duniya Chor k Hum Janay Lagay Hain |
|
Ashq Woh Bhi Girnay Lagay Hain
Paigam Un K Bhi Aanay Lagay Hain
Iqrar Karte Hain Ab Mohabbat Ka Woh Bhi
Jab Duniya Chor k Hum Janay Lagay Hain…
|
|
| |
| Aansu bane lafz aur lafz bane ghazal |
|
Pane se khone ka maza aur hai,
Band aankho se dekhne ka maza kuch aur hai,
Aansu bane lafz aur lafz bane ghazal,
Teri yaado ke saath jine ka maza kuch aur hai.
|
|
| |
| Na illm tha mohabbat kya cheez hai, |
|
Na illm tha mohabbat kya cheez hai,
Na bekarari na rusvayi ka pata tha,
Tum kya aaye mere zindagi mein,
Hum apna naam tak bhool chuke.
|
|
| |
| To dost naam ki cheez hi kyun hoti? |
|
Chiraghon se agar andhere door hote,
To chandni ki chaahat kyun hoti,
Kat sakti agar ye zindgi akailay,
To dost naam ki cheez hi kyun hoti?
|
|
| |
| Sulagti raat ghani chandni si hoti hai |
|
Sulagti raat ghani chandni si hoti hai
Tumhare sath ye duniya nayi si hoti hai
Gale mein uske khuda ki ajeeb barkat hai
Wo bolta hai to ik roshni si hoti hai
Kiran nikalne se pehle gulab dekhe hai
Tumhari yaad mein wo tazgi si hoti hai
|
|
| |
| Hum dilse yad ayenge |
|
Ap lakh bhula k dekh lo
hum dilse yad ayenge
honge apke bade chahne wale
hum sabse badhke chahenge
ap pani p p k thak jana
hum hichkian ban ban ke ayenge.
|
|
| |
| Kuch log yadon ko dil ki tasveer banate hai |
|
Kuch log yadon ko dil ki tasveer banate hai,
doston ki yadon me mehfil sajate hain,
hum thode alag hai jo kisiko yad anay
se pehle unko apni yad dilate hai!
|
|
| |
| Har subah naye kafile me sawaar hota hu. |
|
Har subah naye kafile me sawaar hota hun.
Har dopahar naye dardse najre chaar hota hun.
Shaam ko gahrati hai darde yaari..
Phir nayi subah ka intzar karta hun.
|
|
| |
| Kisi k PYAR ko bhulana na aya hamain |
|
Kisi k PYAR ko bhulana na aya hamain
Kisi k DIL ko dukhana na aya hamain
Kisi ki YAAD mein tarapna to sekh Liya !
Magar apni YAAD men kisi ko tadpana na aya hamen.
|
|
| |
| Aaj aap k paas aaney ko G karta hai |
|
Tamam gham bhool janey ko G karta hai aaj,
Muskuranay ko G karta hai,
Bohut G liiye sahare aap ki yadoon k,
Aaj aap k paas aaney ko G karta hai
|
|
| |
| Teri ankhon say bhi aansoo nikal jayenge |
|
Teri bewafai ko us wafa k saath nibhayenge,
K teri ankhon say bhi aansoo nikal jayenge,
Yeh wada hai k hum tujhe us mod tak layenge,
Jahan hum apna dard teri aankhon say chalka kay dekhayenge.
|
|
| |
| Zindagi kuch pal ki mehmaan lagti hai |
|
Tum bin zindagi sooni si lagti hai,
Har pal adhoori si lagti hai,
Ab to in sansoon ko apni sansoon se jor do,
Warna zindagi kuch pal ki mehmaan lagti hai.
|
|
| |
| Har waqt tum ko yaad karta hu |
|
Har waqt tum ko yaad karta hu,
Ha main tumsein pyaar karta hu,
Kyun tum mujhse khafa ho,
Main tumhi pai to marta hu.
I love you
|
|
| |
| Palkon par aasoo chor jate hain |
|
Kuch meethe pal yaad aate hain,
Palko par ansu chor jate hain,
Kal koi aur mil jaaye toh hamain na bhool jana,
Dosti ke rishtey zindagi bhar kaam aate hain.
|
|
| |
| Mujhe tujhse milne ki taqdeer nazar aayi |
|
Mujhe tujhse milne ki taqdeer nazar aayi,
mujhe apne pairon mein zanjeer nazar aayi.
Jitne aansoo bahaye teri yaad mein,
har aansoo mein tasveer teri nazar aayi…..
|
|
| |
| Pyar se tab tak pyar na karo |
|
Pyar se tab tak pyar na karo
Jab tak pyar aap se pyar na karey
Jab pyar aap se pyar kare
Tab pyar se itna pyar karo
k
Pyar kisi or se pyar na kare
|
|
| |
| Maut se pehle hamara sath na chor paoge |
|
Kia kahon tumhain?
khuwab kahon to bikhar jaoge!
dil kahon to toot jaoge!
Lo, tumhara naam zindagi rakh deti hon..!
Maut se pehle hamara sath na chor paoge…!!
|
|
| |
| chaha hai is ko rooh ki gehraiyoon ke sath |
|
chaha hai is ko rooh ki gehraiyoon ke sath
zinda hoon apni zaat ki tanhaiyon ke sath,
roka nahi tha us ko becharne ke waqat bhi
apni wafa peh naaz tha sachiyon ke sath
|
|
| |
| Mujhe yaad kar beshak mera naam na ley |
|
apne dil ki awaz sun afwaon se kaam na ley
mujhe yaad kar beshak mera naam na ley
tera weham hai ke hum bhool gaye tujhe
meri koi sans aisi nahi jo tera naam na ley.
|
|
| |
| Her sahara bhool jatey hain |
|
Yeh Bahein Humein jab
apni Panahon mein bulathi hein,
Humein apni Kasam hum
har Sahara bhool jatey hain…
|
|
| |
| kaisa pagal hai khud apne bare main pochta hai |
|
Wo mujhse meri udasion ki waja pochta he,
kaisa pagal he dhalti rat k sannate ki wajah pochta hai,
Wo mujhse meri barsati aankhon ki waja pochta hai,
kaisa pagal hai barish k barasne ki wajeh pochta hai,
Wo mujhse meri pasand k bare me pochta hai,
kaisa pagal hai khud apne bare main pochta hai
|
|
| |
| Be’hiss hai yahan loag, bhala soach kai karna |
|
Be’hiss hai yahan loag,bhala soach kai karna..
Is doar main logoon sai wafa soch kai karna
ik baar jo rothey,to mana tum na sakhoo gay,
hum jaisai diwanoon ko khafa soch kai karna
Gul shaakh sai bichrai to kahin ka nahi rehta
Tum zaat mere khud se juda soch kai karna.
|
|
| |
| Zindagi chahiye mohabbat main |
|
Zindagi chahiye mohabbat main,
ye ghari doo ghari ki baat nahi,,
aap say koi bhi nahi pehlay…
aap k baad koi zaat nahi….!!
|
|
| |
| Kuch to khas tha hato ki lakeer main |
|
Tanha tha is duniya ki bheer main
Socha koi nahin mery taqdeer main
Aik din aap ne dosti ka hath barhaya
To laga kuch to khas tha hato ki lakeer main
|
|
| |
| is dil ko kabhi tootne na deyna |
|
Sitaro ki mehfil sey churaya hai aapko,
Dil sey apna dost banaya hai aap ko,
Is dil ko kabhi tootne na deyna
kiyon k..
Is dil k koney main chupaya hai aapko
|
|
| |
| SMS ban ke chala ja tu Gulab |
|
SMS ban ke chala ja tu Gulab,
hogi sachi dosti to aye ga jawab,
agar na aaye to tu mat hona udas,
tu samajah lena hamare liye waqt nahin hai unke pass
|
|
| |
| Lipta hai Mere Dil se kisi Raaz ki Surat |
|
Lipta hai Mere Dil se kisi Raaz ki Surat,
Woh shakhs k jis ko mera hona bhi nahi hai.
Ye Ishq-e-Mohabbat ki Riwayat bhi Ajeeb hai,
Pana bhi nahi hai Usey Or khoona bhi nahi hai
|
|
| |
| Geeley kaghaz ki tarhaan hai zindagi apni |
|
Geeley kaghaz ki tarhaan hai zindagi apni
Koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi
Is qadar akele ho gai hain aaj kal
Koi satata bhi nahi or koi manata bhi nahi
|
|
| |
| Dosti, pyar, zindage ya apna saaya |
|
Qarib se tumhe dekha to apna paya,
Jab tumhe dosti mein azmaya to apna paya,
Tumhe kya name dun samjh mein nahi aaya,
Dosti, pyar, zindage ya apna saaya…
|
|
| |
| Kehte hai k pyar ek saza hai |
|
Nnikal aate hai aansoo rone se pehle…
Toot jate hain sare khuwab sone se pehle…
Kehte hai k pyar ek saza hai,
Kash koi rokta mujhe pyar hone se pehlay
|
|
| |
| is nacheez ko yaad kiya karo! |
|
Hasi ke raste pe chala karo,
khushiyo ki mahak liya karo,
pyar se dilon ko chuha karo,
jahan tumhe ghum nazar aaye,
is nacheez ko yaad kiya karo!
|
|
| |
| Jo palpal chalti rahe |
|
Jo palpal chalti rahe, use zindagi kehte hai,
jo harpal jalti rahe, use roshni kehte hai,
jo palpal khilte rahe, use mohabbat kehte hai,
jo saath na chode, use dosti kehte hai
|
|
| |
| Roz gir jaati hai deewar tere wadon ki |
|
Haadsay ban k log yahaan mila karte hai
Zakhm dene k hi saaman diya karte hai
Roz gir jaati hai deewar tere wadon ki
Roz hi hum maut ke saaye mien jiya karte hai..
|
|
| |
| Mil mil ke bicharrna mujhe accha nahi lagta |
|
Mil mil ke bicharrna mujhe accha nahi lagta
Per tum ko bhi paane ka raasta nahi milta
Tere khaloos-e- mohabbat pe atebaar hai itna
Siwa tere koi rishta sacha nahi lagta
|
|
| |
| Bas mujhe chahe itna sa mera kam kare |
|
Mene kab chaha k wo zindagee mere name kare,
Bas mujhe chahe itna sa mera kam kare,
Har roz kuch lamhe mujhe socha kare,
Kab kaha meri yaad me subha sham kare
|
|
| |
| Dil ki nazuk dhadkano ko |
|
Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya
Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya.
|
|
| |
| Sadgi main bhi ik sajawat si hai, |
|
wo hai bohat sada aur bawaqar lakin us ki
sadgi main bhi ik sajawat si hai,
us ki guftugu main hai haqiqat ka
rang warna ab her cheez milawat si hai
|
|
| |
| Milnay ka waqt maat nikalo par |
|
Har waqt kaam mein itne na ulajh jaya karo,
Kabhi hamari yaad ko bhi dil mein laya karo,
Milnay ka waqt maat nikalo par,
Kabhi apne sms ki awaz to sunaya karo.
|
|
| |
| Aap kion udaas baithay ho |
|
Wadiyon se soraj nikal aaya hai,
Fizaon me naya rang chaya hai,
Aap kion udaas baithay ho,
ab to muskura do, hamara SMS aaya hai
|
|
| |
| Per dost to hamesha dil k qarib rahenge |
|
Din beet jatey hain suhani yadain ban kar,
Batein reh jati hain kahani ban kar,
Per dost to hamesha dil k qarib rahenge,
Kabhi muskan to kabhi ankhon main pani ban ker..
|
|
| |
| Nigah dor talak ja kar laut aye gi.. |
|
Karo ge yaad to har baat yaad aye gi,
Guzartey waqt ki har mulaqat yad aye gi,
Talash karo ge hum se behtar dost koi,
Nigah dor talak ja kar laut aye gi..
|
|
| |
| Us ajnabi ka yun na intzaar karo |
|
Us ajnabi ka yun na intzaar karo,
Is aashiq dil ka na aitbaar karo,
Roj nikla kare kisi ki yaad me ansu,
Itna kabhi kisi se na pyaar karo
|
|
| |
| Mujhe muskurane ki dua na do |
|
Mujhe dard-e-dil ki intehaa maloom hai,
Mujhe dard-e-ishq ki saza maloom hai,
Mujhe muskurane ki dua na do…
Mujhe pal bhar muskurane ki saza maloom hai.
|
|
| |
| U to hum bhi madad kia nahi karte |
|
U to hum bhi madad kia nahi karte,
Choclate kya toffy bhi dia nahi karte.
Ye DOSTI sirf apse hai warna msg to kya
hum kisi ko number bhi dia nahi karte.
|
|
| |
| Socha yaad na kar k thora tadpaye unko |
|
Socha yaad na kar k thora tadpaye unko,
kisi aur ka naam ley kar jalayain unko.
Par koi chot unko lagi to dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.
|
|
| |
| Jab Aapka Naam Zaban Par Aata Hai |
|
Jab Aapka Naam Zaban Par Aata Hai,
Pata Nahi Dil Kyo Muskurata Hai.
Tasalli Hoti Hai Mann Ko Koi To Hai Apna
Jo Haste Hue har waqt Yaad Aata Hai.
|
|
| |
| Meray sms padh k yaad to karte honge |
|
Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya tere jigri yaro ne.
Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.
|
|
| |
| Kisi na kisipe aitbar ho jata hai |
|
Kisi na kisipe aitbar ho jata hai,
Ajnabi koi shaks yaar ho jata hai,
Khubiyo se nhi hoti mohabat hamesha,
Khamiyo se b aksar pyarho jata hai
|
|
| |
| uske labhon pe mera naam to aaya. |
|
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya
Khali hi sahi hathon mein jam to aaya
Mein hoon bewafa sabko betaya usne
Yun hi sahi, uske labhon pe mera naam to aaya.
|
|
| |
| Sath chalne ke liye sathi chahiye |
|
Sath chalne ke liye sathi chahiye,
Aansu rokne ke liye muskan chahiye,
Zinda rehne ke liye zindagi chahiye,
Aur zindagi jine ke liye aap chahiya.
|
|
| |
| Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki |
|
Maat roko iss behte dard ko,
Saza hai ye kisi ke intzar ki,
Keh lo inhe ashk ya diwangi,
Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki.
|
|
| |
| Aap apnay qareeb aanay nahin daitay |
|
Aap apnay qareeb aanay nahin daitay,
Khud ko seenay say laganay nahin daitay,
Dil aap ki yaad main tarapta bhi bohut hay,
magar aap hamain aanso bahanay nahin daitay,
aap ki yaadon ko rook pana hay mushkil,
Rooth’tay hain to phir mananay nahin daitay.
|
|
| |
| Meri taqdeer meray saath nahin |
|
Sapnay ki tarha tujhey saja k rakhon,
Chandni raat ki nazron se chupa k rakhon
Meri taqdeer meray saath nahin,
warna zindagi bhar tujhay apna bana k rakhon
|
|
| |
| k jurm men ne kia raabtay barhanay ka… |
|
Kahan se loon ab hunar usay mananay ka,
k koi jawaz na tha us k rooth janay ka.
Mohabbaton mai saza mujhay he milni the,
k jurm men ne kia raabtay barhanay ka…
|
|
| |
| Gulshan main us bahar k hakdar hum nahe |
|
Mana teri nazar main tera pyaar hum nahe,
kaise kahen k tere talabgaar hum nahe,
khud ko jala k khak kar dala,mita diya,
lo ab tumhari raah main dewaar hum nahe,
jis ko sanwara humne tamannaon k khoon se,
gulshan main us bahar k hakdar hum nahe
|
|
| |
| Wo tere liye KHAS kyun hai |
|
Aaj phir doston ne mujhse pocha
K tera hasta hua chehra UDAS kyun hai?
Barsti aankhonn mein piyas kyun hai?
Jinki nazro mein tu kuch nahi
Wo tere liye itna KHAS kyun hai
|
|
| |
| Sans bhi to teri yaad k baad aati hai |
|
Sans lainay se teri yaad aati hai,
Yaad aanay se meri jaan jati hai,
Kaise kehdoon k sirf sans se zindagi he,
Sans bhi to teri yaad k baad aati hai,
|
|
| |
| Jitna bhi kisi ko apna bana lo |
|
Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi,
Wafa kar lo chahe jitni,behwafai hi milegi
Jitna bhi kisi ko apna bana lo,
Jab aankh khulegi tanhai hi milegi
|
|
| |
| Miley aaj tumhein woh khushiyan k |
|
Har ek sajda maqbool-e-khuda ho jaye,
Teri DUAON k sang rab ki raza ho jaye,
Miley aaj tumhein woh khushiyan k,
Hazaron sal tak ghum tujh se khafa ho jaye
|
|
| |
| Rishta koi bhi ho use aisay nibhao |
|
Koshish karo k koi tum se na roothay,
Zindagi main apno ka sath na chootay,
Rishta koi bhi ho use aisay nibhao,
K us rishtay ki dor zindagi bhar na totay.
|
|
| |
| Meri chahatain tumse alag kab hain |
|
Meri chahatain tumse alag kab hain,
Dil ki batain tumse chupi kab hain,
Tum sath raho dil main dharkan ki jaga,
Phir zindagi ko sanson ki zarorat kab hai,
|
|
| |
| Tark-e-rasme-e-dosti |
|
Tark-e-rasme-e-dosti hargiz mera maslak na tha,
ittifakan, doston sy rabtay kam ho gaye !
|
|
| |
| Aaj jab dard hua to wo bahot yad aya.. |
|
Aaj rootha hua ek dost yaad aya,
acha guzra hua kuch waqt yad aya,
jo mere dard ko sine me chupa leta tha,
aaj jab dard hua to wo bahot yad aya..
|
|
| |
| Hum bhi kitne nadan hain |
|
Tare asman me chamkte hain
Badal itni dur hai fir bhi barste hain
Hum bhi kitne nadan hain
Aap dil me rehte hain or hum apse milne ko tarste hai
|
|
| |
| Wafa dil ko dukahati hai. |
|
Wafa ka naam na lo yaron,
Wafa dil ko dukahati hai.
Jub bhi Wafa ka naam lete hi,
hume ek bewafa ki yaad Aati hai
|
|
| |
| Hastay hain to sirf duniya kay liye |
|
Apni to zindgi hi ajeeb kahani hay
jis chiz ko chaha woh begani hay
Hastay hain to sirf duniya kay liye,
Warna in ankhon main to sirf pani hi pani hay
|
|
| |
| Hamari baat to aur thi yaaro |
|
Usne hothon se chu kar,
pani ko gulabi kar diya,
Hamari baat to aur thi yaaro,
machliyo tak ko bhi sharabhi kar diya
|
|
| |
| Jeena He To Is Pal Ko Jee Le |
|
Waqt “Kehta†Hai phir Na Aaunga,
Teri Aankhon Ko Ab Na Rulaunga,
Jeena Hai To Is Pal Ko Jee Lay,
Shayd Me Kal Tak Na Ji Paunga
|
|
| |
| Hum To Bus Naam Sunte Aaye Hai |
|
Gam Ke Mare Jo Muskuraye Hain,
Aansuoo Ko Bhi Pasine Aaye Hain,
Kya Bala Hai Khushi Nahi Malum,
Hum To Bus Naam Sunte Aaye Hai
|
|
| |
| Un se duur janay ka irada na tha |
|
Un se duur janay ka irada na tha,
Sada sath rehnay ka bhi wada na tha,
Wo yaad na karaingay yeh jantay thay hum,
Par itni jaldi bhool jayengay, andaza na tha.
|
|
| |
| Kabhi dil pe madhoshi chayee na thi |
|
Pehle kabhi ye yaden ye tanhai na thi,
Kabhi dil pe madhoshi chayee na thi,
Jane kia asar ker gaye “apki” batain,
Warna is tarah kabhi yad kisi ki aye na thi
|
|
| |
| Hum se log hain naraz kis liye |
|
Dil se teri yad ko juda to nahi kia,
Rakha jo tujhe yaad, bura to nahi kia,
Hum se log hain naraz kis liye,
Hum ne kabhi kisi ko khafa to nahi kia
|
|
| |
| Kia koi meri tarah jeet k hara ho ga… |
|
Wo to is soch me sahil pe khara doob gia,
Kitna gehra tere darya ka kinara ho ga,
Wo mera ho k bhi mehroom raha mujhse Saqib,
Kia koi meri tarah jeet k hara ho ga…
|
|
| |
| Dhondte phiro gay hamain 1 din |
|
Dil mai intezar ki lakeer chor jaengay,
Ankhon mai yadon ki nami chor jaingey,
Dhondte phiro gay hamain 1 din,
Zindagi mai eik aisi kami chor jayengay
|
|
| |
| Main hamesha aap k liye eik ehsas hon |
|
Udaas na hona kion k main sath hon,
Samnay na sahi per aas paas hoon,
Aankhon ko band karo dil se yaad karo,
Main hamesha aap k liye eik ehsas hon,
|
|
| |
| Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi |
|
Thukra k usne mujhko kaha muskura do,
Main hans dia akhir sawal uski khushi ka tha..
Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi,
Usne khoya woh jo sirf usi ka tha…..!
|
|
| |
| Dil to kia hum rooh me uter jate |
|
Hum to mojod thy raaton me ujalon ki tarah,
Log nikly hi nahi dhondne walon ki tarah,
Dil to kia hum rooh me uter jate,
Us ne chaha hi nahi chahne walon ki tarah
|
|
| |
| Bhool jane ki adat hamain bhi nahin |
|
Bun k ajnabi mily thay zindagi k safr mein kahin,
In yadon k lamhon ko kabhi bhoolaingay nahin,
Agar yaad rakhna fitrat hai aapki,
Bhool jane ki adat hamain bhi nahin
|
|
| |
| Meri chahat hy pani k bulbulay jesi |
|
Meri chahat ka hisab jo lagao gay,
To meri chahat ko bayhisab pao gay,
Meri chahat hay pani k bulbulay jesi,
Zara sa thukrao gy to dhondtay reh jao ge,
|
|
| |
| Ik taraf judai ka tazkira bhi jari hai |
|
Tanha chor ker hum ko hasla bhi dete ho,
Saans cheen ker jeenay ki dua bhi dete ho,
Ik taraf judai ka tazkira bhi jari hai,
Aur muskuranay ka mashwara bhi detay ho
|
|
| |
| Sajdon me rone ki adat nahin hoti |
|
Kismat do pal mein badal sakta he INSAN,
Per jo INSAN ko badal de wo kismat nahin hoti,
Apni kismat pe rota wohi shakhs hay jisko,
Sajdon me rone ki adat nahin hoti
|
|
| |
| K lab jab bhi kholta meri guftugu karta |
|
Kash koi aisa ahal-e-dil hota jo meri arzu karta,
Khoo jati agar main kahin, to meri justuju karta,
Mein us kay zehan-o-dil main kuch is tarah sama jati,
K lab jab bhi kholta meri guftugu karta,
|
|
| |
| Zindagi younhi teri chahat k naam kardi, |
|
Zindagi younhi teri chahat k naam kardi,
Jaisay ghanay darakht k neeche sham kardi,
Laut jate hainparinde shaam hote hi,
Hamne to har shaam hi tere naam kardi
|
|
| |
| Kanch ka dil chupain kahan |
|
Bojhal dil, bojhal qadam,
Sochtay hain k jain kahan
Jub sub derwazay hon band,
Apni manzil pa’ain kahan
Sang’raizon k dais main,
Kanch ka dil chupain kahan
|
|
| |
| Ya koi patthar dil insan na hota |
|
Kaash k usay chahnay ka Arman na hota,
Main hosh main hote howay anjaan na hota,
Yeh pyaar na hota kisi patthar dil se hamain,
Ya koi patthar dil insan na hota
|
|
| |
| Rehti duniya tuk us ko salamat rakhna |
|
Ae rab apnay pas meri dua amanat rakhna,
Rehti duniya tuk us ko salamat rakhna.
Meri ankhon k sary deep bujha dena,
Per us ki ankhon k sary khuwab salamat rakhna
|
|
| |
| Azeez to sub ko hon magar |
|
Mujhey guman hai k chaha
hai bohut zamanay ne mujhey.
Main azeez to sab ko hon magar
.
.
.
Zaroraton ki tarah..!
|
|
| |
| har shaakh par bahaar aati hy Zaror! |
|
Koi na milay to qismat se ghila nahi karty!
aksar log mil ker bi mila nahi karty!
har shaakh par bahaar aati hy Zaror!
par har shaakh par phool khila nhi krty
|
|
| |
| Jis ki qurbat main karar bohut hay |
|
Jis ki qurbat main karar bohut hay
us ka milna dushwar bohut hay
jo meray hathon ki lakiron main nahin
us shakhs say mujhey pyar bohut hay
|
|
| |
| Dil main koi malal bhi nahin |
|
Dil main koi malal bhi nahin,
Us se koi gila nahin, jo sath day k bhi sath nahin,
Us ki khushion ki mangi hai dua,
Yeh alag bat hay k meri zindagi us ka sawal hai k nahin
|
|
| |
| kitne nadaan thy toufan ko kinara samjha |
|
kitne nadaan thy toufan ko kinara samjha
kitne bejan saharon ko sahara samjha,
kitnay anjaan thy wo log jo sahil pe thy,
hamain doobta dekha or nazara samjha
|
|
| |
| Abhi sath hai to bat kar lia karo |
|
Sanson ka pinjara kisi din toot jayega,
Phir musafir kisi rah mein choot jayega!
Abhi sath hai to bat kar lia karo,
Kia pata kub zindagi ka sath choot jayega
|
|
| |
| Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib |
|
Raaz-e-dil na sunana kisi ko Saqib,
Duniya mein sab hamraz badal jatay hain,
Kisi kay bicharne se koi mar nahi jata,
Haan magar jeenay k andaz badal jatay hain!
|
|
| |
| Tere bina hum jeena bhool jate hain |
|
Tere bina hum jeena bhool jate hain,
Zakhmon ko seena bhool jate hain,
Tu zindagi mein sub se azeez hai hamain,
Tujhse her baar yeh kehna bhool jaatay hain.
|
|
| |
| Apna Ho Kar Bhi |
|
kisi ki Awaaz k liye Dil tarasta hai
kisi k Intzaar men Dil Tarapta hai
Kya kahein is Dil_E_NADAN ko
Jo apna ho kar b kisi or k liye Dharkta hai..
|
|
| |
| Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte |
|
Us ke intezaar se bhala kya ho ga haasil,
Aane ka keh kar bhi jo aaya nahi karte,
Rakhte hon jo dard bhara dil apne seene mein,
Doosron ka dil phir woh dukhaya nahi karte,
|
|
| |
| Marna ka maza to tab hai yaro |
|
Koi dikha k roye,
Koi chupa k roye,
Humain rulanay walay,
Humain rula k royee,
Marna ka maza to tab hai yaro,
Jab qatil bhi Janazay per aa ker roye
|
|
| |
| Is dafa to barishein rukti nahin faraz |
|
Is dafa to barishein rukti nahin faraz,
Hum ne ansu kia piye k saray mosam ro paray
|
|
| |
| Teri qismat kabhi bhi badal sakti hay |
|
Bujhi shamaa bhi jal sakti hai,
Toofan se kashti bhi nikal sakti hai,
Ho k maayus youn na apnay iraday badal,
Teri qismat kabhi bhi badal sakti hay
|
|
| |
| Lehar ko pyar tha kinary se |
|
Lehar ko pyar tha kinary se,
Par us ki shadi ho gaye sagar se,
Kinary ki chahat lehar ko khench lati hay,
Par badnaam na ho MOHABBAT is liye wo laut jaati hay,
|
|
| |
| Phool jaisa tera anjaam na honay doon ga |
|
shaam say pahlay teri shaam na honay doon ga
zindagi main tujhay na.kaam na honay doon ga
lagnay doon ga na hawa tujh ko khizaoon ki kabhi
phool jaisa tera anjaam na honay doon ga
|
|
| |
| Kabhi zindagi sey gilla ker k roye |
|
Kabhi zindagi sey gilla ker k roye,
Kabhi mout ki hum dua ker k roye,
Ajab silsila haiNamaz-e-Mohabbat ka,
Qaza ker k bhi roye,ada ker k bhi roye
|
|
| |
| Tujhe ansu bhari wo dua miley, |
|
Tujhe ansu bhari wo dua miley,
Jisey kabhi na rad Khuda karey,
Tujhey hasrat na rahe kabhi jannat ki,
Tere aangan me muhabbaton ki aisi hawa chale
|
|
| |
| Hadon ki qaid se tuk ker azad mujhey |
|
hadon ki qaid se tuk ker azad mujhey,
dil me basaya hay to ankhon me utar le mujhy,
meri sab hi jazbon me hay pakizgi ka rang,
tu jis rishtay se chahay pukar lay mujhay
|
|
| |
| Hasta basta dil kar diya khali us nay |
|
Mujh se NAFRAT ki ajab raah nikali us nay,
Hasta basta dil kar diya khali us nay,
Meray ghar ki riwayat se woh khoob waqif tha,
JUDAI mang li ban k SAWALI us nay!
|
|
| |
| Her ada aus ki pasad thi apni |
|
Daikhna mujhe aur dair talak daikhty rehna,
Phir tasawur main khud se sharmaty rehna,
Her ada aus ki pasad thi apni,
Sharmana ghabrana khud ko chupaty rehna,
Aaj taqdeer ke zulm ki intaha hai nashtar,
Bichar gaya, socha jisy apnaaye rehna
|
|
| |
| apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise |
|
apane sivaa hamaare na hone kaa Gam kise
apani talaash mein to ham hi ham hain dosto
sab kuchh sahi ‘Faraz’ par itanaa zaruur hai
duniyaa main aise log bahut kam hain dosto
|
|
| |
| Mere dil ko nikal laina Faraz |
|
Dafnane Se pehlay Mere Dil Ko Nikaal Lena “FARAZ”
Kahin Khaak Main Na Mill Jaye Mere Dil Main Rehnay Wala
|
|
| |
| Minnat se nahi manta |
|
Chalo Us Ka Nahi To KHUDA Ka Ehsan Laitay Hai FRAZ
Wo Minnat Se Nahi Mana To Mannat Se Mang Laty Hain
|
|
| |
| Ankh Masruf e Nazara thi |
|
Ankh Masruf e Nazara thi to Hm khush thy Faraz
Tum ney Kia Zulm Kia Dil mein Thikana Ker K
|
|
| |
| Sapurd-e-Khaak Kar Dala |
|
‘Sapurd-e-Khaak Kar Dala Teri Aankho’n Ki Masti Ny FARAZ …’
‘Hazaro’n Saal g Letey Agar Tera Deedar Na Hota …’
|
|
| |
| Jeenay Ki Kasam Khai Hy … |
|
Tere Hijra’n Se Ta’aluq Nibhane K Liye
Humney is Saal Bhi Jeenay Ki Kasam Khai Hy …
|
|
| |
| Apni hath ki lakeron ko mat dekho |
|
Kitno ki taqdeer badalni hai tumhein
Kitno ko rasto pey lana hai tumhein
Apni hath ki lakeron ko mat dekho
In lakeron say agay jana hai tumehin
|
|
| |
| Suna Hai Shub Ko Tanhai Ussey Soney Nahi Deti |
|
Haseen Yadoon K Kuch mausam Ussey Arsaal Karney Hein FARAZ!
Suna Hai Shub Ko Tanhai Ussey Soney Nahi Deti
|
|
| |
| Qissa Meri Muhabbat Ka! |
|
Me Apne Aap Se Barh Ker Kissi Ko Kio Chahon ga!
Mujhhi Pe Khatam Hai Kissa Meri Muhabbat Ka!
|
|
| |
| Shakal pehchani nahi jati |
|
Qudurat ho to sachi baat bhi mani nahi jati
Ke chashme toor tak suraj ki tabaani nahi jati
Ab itna bhi na apne ko bigaro bugze haider me
Ke khud tumse tumhari shakal hi pehchani nahi jati
|
|
| |
| Safaid libas use bohut pasand tha |
|
safed libas use bohot pasand ta mere jism par ” Faraz ”
aaj me kafan me lipta hon to phir wo roti kyon he .
|
|
| |
| Badal-badal kay |
|
Un dostoan se milna yaaroan sambhal-sambhal ke
Jeete hain zindagi jo Chehre Badal-badal ke.
Mat poochh usse zaalim chehre pe salvatein kyun,
Kaati ho jisne raatein, karvat badal-badal ke.
|
|
| |
| Zarorat tor daiti hay |
|
zarorat tor deti hai gharur-o-be niazi ka.”
na hoti koi majbori tu hr banda “KHUDA”Hot
(ALAMA IQBAL)
|
|
| |
| Jo hum mehsoos kerte hain |
|
Jo hum mehsoos kerte hain
agar tum tak pohanch jaye
tou bas itna samajh lena
ye un jazbo’n ki khusbuu hay
jinhai’n hum keh nahi sakte
magar tum jo ijazat do
tou chand lafzo’n main keh doon
k tum bin jee nahi sakte …
K tum bin jee nahi sakte …
|
|
| |
| Mehkti hui sard raaton k san’naton me |
|
Mehkti hui sard raaton k san’naton me,
Kanpte paton ki halki halki sarsarahton me,
mujhe apna wajood bhi aadhaa sa laga,
tere baghair,
is lamhe me ne jana k,
Meri saari khushian bhi adhoori hen,
tere baghair..!!
|
|
| |
| Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do |
|
Tum apni zulf ki parchaiyan mujhay day do
Tum apni shaam ki tanhaiyan mujhay day do
Mein doob jaon tumhari udas aankhon mein
Tum apnay dard ki gehraiyan mujhay day do
|
|
| |
| Har ek say mil raha hai bari aajzi k sath |
|
Hum say bichar kay us ka takabbur bikhar gaya faraz
Har ek say mil raha hai bari aajzi k sath
|
|
| |
| Ajeeb hijar parasti thi |
|
Ajeeb hijar parasti thi
us ki fitrat main
Shajar k tuutey patty
talash krta tha
Tamam raat wo parde
hata k chaand k saath
Jo kho gaye wo lamhe
talaash kerta tha …
|
|
| |
| Dost jo lagay jan se pyara |
|
Kabhi tou miley pehli
mulaqat ki terha
bigra hi rehta hy kyun
halaat ki terha
wo ek dost jo lagy
jaan say pyara
mujhy waqt tou deta hy
magar kheraat ki tarha
|
|
| |
| Mera shehar hi chor do |
|
wo baat baat pay deta hai Parindoun ki misal Faraz
saaf saaf nahi kehta mera sheher hi chor do
|
|
| |
| Dard Ka Tajir… |
|
Kon Tole Ga Hiroon Mein Ab Hamare Ansoo Faraz ?
Woh Jo Ik Dard Ka Tajir Tha DukaN Choor Geya…
|
|
| |
| Dard jitna hai meri nigaho me |
|
Dard jitna hai meri nigaho me,
paoge na utna kisi ki raho me,
bitani chahte the zindagi jiski bahon me,
maut b na mil payi unki panaho me.
|
|
| |
| Kuch aur bhi hay |
|
Zindagi sirf mohabbat nahi,kuch aur bhi hay
zulf-o-rukhsar ki jannat nahi,kuch aur bhi hay
bhool-o-aflas ki is maari hui dunya main
ishq hi ek haqiqat nahi,kuch aur bhi hay …
|
|
| |
| Bus 2 din k liye |
|
Hum na rahe’n bhi tou humari yaadai’n wafa karengi tum se
Ye na samajhna k tumhai’n chaha bas 2 din k liye…
|
|
| |
| Mujhey chain mila? |
|
Ae baad-e-saba
us nagar main ja
usay itna bata
ek dost tera
kehta hy sada
mujhy apna bana
chahat ko jaga
ae jaan-e-ghazal
teri baat azal
tere hont kanwal
teri aankh ghazal
ae jaan-e-wafa
khud tu hi bata
kab tere siwa
mujhey chain mila … ???
|
|
| |
| 1 nigah se qatal hotay hain log |
|
Tumhari ek nigah se qatal hotay hain log Faraz,…!
Ek nazar hm ko bhi dekh lo k tm bin zindagy achi nahi lagti….!
|
|
| |
| Hum apni rooh … |
|
Hum apni rooh tere jism mein he chhor aye Faraz….
Tujhy galay se lagana tu ek bahana tha…
|
|
| |
| Fursat se sochta hay usay |
|
Wo tu milta hay mujhse mehdood se lamhon me Faraz
Yeh DIL hay kitni fursat se sochta hay usay
|
|
| |
| 1 nafrat hi nahi dard ka sabab |
|
Aik nafrat hee nahi duniya mein dard ka sabab Faraz…
MOHABBAT bhi sakoon walon ko bari takleef deti hain.
|
|
| |
| Guftago k fun main mahir ho |
|
Mana k tum Guftago k fun main mahir ho Faraz.
Wafa kay lafz pay atko to humhain yaad kar lena
|
|
| |
| Qismat mein dard kon likhta hai |
|
Kon kehta hy k aadmi apni kismat khud likhta hay…
Agar yeh sach hy tu kismat mein dard kon likta hay?
|
|
| |
| Mujhe tanha honay nahi detay |
|
Kitnay gharoor mai hai Wo mujhe tanha chor k “saqi”
unhein maloom nahi meray Aansu mujhe tanha honay nahi detay
|
|
| |
| Apni Manzil Pe Pohanchna |
|
Apni Manzil Pe Pohanchna Kisi Moa’jzey Se Kam Nahi ‘Faraz’
Raah-Guzar Pathar K Hain Aur Hum-Safar Seeshey Ka … !!!
|
|
| |
| Ishq ke sahare jiya nahi karte |
|
Ishq ke sahare jiya nahi karte,
Gum ke pyalo ko piya nahi karte,
Kuchh Nawab dost hain hamare,
Jinko Preshan na karo to wo yaad bhi kia nahi karte
|
|
| |
| Tujhey bholnay ki koshish |
|
Tujhy bhul jaon ye koshish kr k dakhun ga..
wesy daryaon ka ulta behna mumkin nai..
|
|
| |
| Ek ajnabi hay magar |
|
Ek ajnabi hay magar
Rooh-shanas lagta hy
Meri tarha mujhy
Wo bhi udaas lagta hy
Karon talash tou ho
Shak wajood pe us k
Jo aankhai’n band karo’n
Aas paas lagta hay
|
|
| |
| Wo aur kia daikhay |
|
Tere siwa bhi kai rung
Khush nazar thay magar
Jo tujh ko dekh chuka ho
Wo aur kia dekhey … !!!
|
|
| |
| Wo naam tumhara hay |
|
Koi chaand sitara hay
Koi phool se pyara hay
Koi khushi ka ishara hay
Koi dil ka sahara hay
Tumhai’n itna batana hay
Wo naam tumhara hay
|
|
| |
| Hum to pagal hain |
|
Rat gehri hai dar bhi saktey hain
Hum jo kehtey hain kar bhi saktey hain
Aap jo roothey to itna bhi na soocha
Hum to pagal hain mar bhi saktey hain
|
|
| |
| Baatein Meri yaad ayengi itni |
|
Tujhe Pyar Mera Satayega Aksar.
Yaado ke toofa uthayega aksar.
Zikar mera karne se pehle.
tu Kuch soch ke muskrayega aksar.
Mera Naam likh kar Kitabo main apni.
tu Logon ke dar se Mitayega Aksar.
Baatein Meri yaad ayengi itni.
Jitna tu unhain Bhulayega Aksar.
|
|
| |
| Sardiyon ka chand |
|
Kuch Is Liye Bhi Raat Ko Ghar
Se Nikal Aata Hon Main
Sardiyon K Chand K0
Ehsas Na H0 Tanhayi Ka
|
|
| |
| Khushi ki muddat |
|
Meri khushi ki mudat itni he Faraz
Guzar jati he mere muskurani se pahle
|
|
| |
| Na ho aapki muskan kam |
|
Mil jaati hai kitno ko khushi,
Mit jaate hai kitno ke gham,
SMS is liye bhej rahe hai hum,
Takay door rah kar bhi na ho aapki muskan kam.
|
|
| |
| Apne hone ka pata de dena |
|
Apne hone ka pata de dena
kabhi guzro to sada de dena
yaad Aa jaon ibadat main Agar
hath utha ke bus Dua de dena..
|
|
| |
| Men CHAAND Hoon Insaan Nahi |
|
Raat Ka Aakhri Pehar Tha…!
MuJh Se Chaand Ne Kaha’
Humnasheen Alvida’
MuJh Ko Neend Aa Rahi Hai’
Kal Milain Ge isi Jagah’
Men Sun Kar Muskura Diya’
Us Ko Batla Diya’
Jaanay walay Lout’tay Nhi’
Tum Nhi aao Ge’
MuJhe Hai Yaqeen’
Meri Baat Sun Ke Woh Ruk Gaya’
Aur Kehnay Laga’
Tum Se Wada Karoon’
Phir Poora Na Kroon’
|
|
| |
| Zinda Hi Maar Gaye. |
|
Dilon Se Khelne Ka Hunar Hamein Nahi Aata,
Isliye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye,
Meri Zindagi Se Shayad Unhe Bohot Pyar Tha,
Isi Liye Mujhe Zinda Hi Maar Gaye.
|
|
| |
| us ne mehsoos bhi na honey diya |
|
us ne mehsoos bhi na honey diya,
yun kahani ka rukh moor diya,
milney julney main ki kami pehley,
phir rafta rafta hamein hi choor dya
|
|
| |
| Haath haaton say choot’ta kub hay? |
|
Haath haaton say choot’ta kub hay?
Koi apnon say rooth’ta kub hay?
Jo bhi jur jaata hay aik baar,
Phir woh RISHTA toot’ta kub hay?
|
|
| |
| Mana ke bhool jana aapki fitrat hai sahi, |
|
Mana ke bhool jana aapki fitrat hai sahi,
magar hamain bhool jana apki qismat me nahi,
chahoTo aazma k daikh lo,
khud ko bhul jaoge par hamain nahi.
|
|
| |
| Har sham sey tera izhaar kiya kartey hain |
|
Har sham sey tera izhaar kiya kartey hain,
Har khuwab mein tera didar kiya kartey hain,
deewanay hi to hai hum tere,
Jo har waqt tere milnay ka intzaar kiya karte hain.
|
|
| |
| kal anjaan ban kar paas se guzar gai |
|
kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo maan lia karti thi
kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehchaan lia karte thi…
|
|
| |
| Bin tery meri zindagi baynaam si |
|
Mery wajood se lipti khushbo tere naam ki hai
Meray dil me basi her ek dharken tery naam ki hai
Itna yaqeen ker lay meray hamnasheen
Bin tery meri zindagi baynaam si hai
|
|
| |
| Kaisay guzarti hay raat meri |
|
Kaun kehta hay k teri yaad say ghafil hay Saquib
Bister ki har shikan se poch kaisay guzarti hay raat meri..!
|
|
| |
| Meri chup se naraz na hua karo |
|
Baray hi sarfrosh hua kartay hain,
Haqiqaton ki aaghosh huwa karty hain,
Meri chup se naraz na hua karo,
Gehray samunder hamesha khamosh howa kartay hain
|
|
| |
| Ye jis ka ho wo nishani bata kar lai jai |
|
Khulle paare hain meri zindagi kay saare warq
Najane kab koi aandhi ura kar lai jaii
Kisi ka dard kahan tak apnay pass rakhon
Ye jis ka ho wo nishani bata kar lai jai
|
|
| |
| Mujhe dekh kar chehra ghuma lete hai, |
|
Mujhe dekh kar chehra ghuma lete hai,
Mujhe dekh par nazrein phira lete hai,
Par ek baat par ghaur unkay kartey hai,
Baatain ghairon ki, qasmain mere naam ki kha leti hai.
|
|
| |
| ISHQ wahi hai jo ho ektarfa |
|
ISHQ wahi hai jo ho ektarfa,
IZHAR e ishq to khwahish ban jaati hai,
HAI agar ishq to aankho mein dekho,
ZUBAN kholne se ye numaish ban jaati hai..
|
|
| |
| Jab tak thokar na lagay bewafai ki |
|
Har dharkan mein ek raz hota hay,
har baat ko batane ka ek andaz hota hai,
jab tak thokar na lagay bewafai ki,
har kisi ko apne pyar par naz hota hai.
|
|
| |
| Jab bhi aap se milne ki Taqdeer nazar aayi |
|
Jab bhi aap se milne ki Taqdeer nazar aayi,
Mujhe Paon mein bandhi Zanzeer nazar aayi,
Teri Yaadon mein nikal parey Aansu,
Har Aansu mein teri Tasveer nazar aayi.
|
|
| |
| Aankhain bheeg jati hain |
|
Ghamon k selaab tu pehle bhi bardasht kr lete thy Saqi
Par ab tu ek katray se bhi aankhain bheeg jati hain
|
|
| |
| Aaj Tak Nahin Kaha Aapse |
|
Teri Tishnagi Mein Choor Hain Hum,
Aaj Tak Nahin Kaha Aapse
To Ye Mat Samajhna Maghroor Hain Hum,
Ho Na Jao Aap Door Humse
Bas Isi Baat Ko Lekar Majboor Hain Hum
|
|
| |
| Tujhe Bhi Humari Yaad Ajaye |
|
Sehme Labo Pe Koi Masoom Faryad Ajaye
Koi Khushi Ab In Ghamon Ke Bad Ajaye
Pal Pal Mehsoos Hoti Hai Teri Mojodgi
Kisi Lamhe Tujhe Bhi Humari Yaad Ajaye,
|
|
| |
| TERE YAAD |
|
Chandani raat me our bhi shiddat se aaye gi us ki yaad
Behtar hai faraz so jana sham se pehle.
|
|
| |
| Faqat ek baat kehna chahta hun |
|
Faqat ek baat kehna chahta hun
Teri ankhon main rehna chahta hun
Bohat jaag chuka hun tere hijr main
Tere anchal main sona chahta hun
Zamane bhar ki khushian aur ter gham
Ye gham kuch aur sehna chahta hun
|
|
| |
| Tanhaian kash na hotien |
|
Mehfil k rang aur hote Tanhaian kash na hoten
Itne be rang na hote Judaian kash na hoten
Aisa ehsas na hota tere narm o nazik badan ka Shah
Aalam e madhoshi main pakri kalaian kash na hoten
|
|
| |
| Kya baat hai |
|
Kitabo k panno ko palat k sochta hu
u palat jaye meri zindagi to kya bat hai,
khwabo me roz milti hai jo
hakikat me aaye to kya bat hai
|
|
| |
| Wo shakhs mujhe yaad ata hai |
|
Itna Tasalsul to meri sanson mein b nai FARAZ
jis rawani se wo shakhs mujhe yaad ata hai
|
|
| |
| Bheegi Ankhein |
|
Saleeqa ho agar Bheegi ANKHON ko parrehnay ka FARAZ
To behtay howe AANSU bhi aksar baat kerte hain
|
|
| |
| Kion Ghareeb Samjhte Hain ?? |
|
Kion Ghareb Samjhte Hain Hame Ye Dunia Wale Faraz????
HArzar Dard Ki Dolat Se Mala Maal Hain Hum!!!!!
|
|
| |
| Suna hai mere baad… |
|
Suna hai mere baad ab wo Hansta b nahi hai
Badal geya hai ab wo Pehle jaisa Bhi nahi hai
Sab keh rahe hain Mujh se lout aao or usay sambhalo
K tere baad wo kisi ki Sunta bhi nahi hai
|
|
| |
| Such kahon… |
|
such kahon apni muhabat pay nidamat ci hoi….
jub bhi dekhi teri utri hoi sorat hun ny…..
|
|
| |
| Na Neend Aai Na Khwaab Koi |
|
Bohat Khushnuma Ek Raat Guzri Hy
Kuch Tanha Per Kuch Khaas Guzri Hy
Na Neend Aai Na Khwaab Koi
Bas Tere Khyalo’n k Saath Guzri Hy !!
|
|
| |
| Apnay aamal ka Hasib |
|
Kisi ko apnay aamal ka Hasib kiye datay hain
Sawal saray ghalat thay Jawab kiye detay hain
|
|
| |
| Na rootha karo |
|
Na rutha karo, kaha hum ne hazar bar usay
Shaid who jaan chuka tha hamare dil ki baat.
|
|
| |
| Bhool gaye rastay bhi ghar k |
|
Hawa e dasht mughay aab tu aajnabi na Samagh
Kay aab tu bhool gay Rastay bhe ghar kay mujhay
|
|
| |
| kahin tanha na kar de… |
|
Kahin tanha na kar dey tujhe munfarid rehne ka shok FARAZ…
jab din dhalay to kisi se haal-e-dil keh diya kar.
|
|
| |
| Har phool par yun aaitbar na kijiye |
|
Bagair jane pehchane iqrar na kijiye,
muskura kar dilo ko beqrar na kijiye,
phool bhi dey jatay hain zakham gehray kabhi kabhi,
har phool par yun aaitbar na kijiye
|
|
| |
| Toote khuwabo ki tasveer kab poori hoti hai |
|
Toote khuwabo ki tasveer kab poori hoti hai,
chand taron k beech bhi doori hoti hai.
dena to hume khuda sab kuch chahta hai,
par uski bhi kuch majboori hoti hai..
|
|
| |
| ye soch k aap khuwabon main ayain |
|
Ajeeb si kashish hai app me ki hum
aap ke khaylo me khoye rehtay hain…
ye soch k aap khuwabon main ayain.
hum din me bhi sooye rehtay hain
|
|
| |
| Dil ka dard dikhayain kis ko |
|
paas aa k sab hi dur chale jate hai,
hum akailay hain akele hi reh jate hai,
Dil ka dard dikhayain kis ko?
jab marham lagane wale hi dard de jate hai.
|
|
| |
| Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay |
|
Jo rehtay hain sada dil mein unhein dhonda nahin kertay,
Jo ruch jayain rag-o-pay main unhein socha nahin kertay,
Baharon k ghanay sayai mein talkhi bhi, chubhan bhi hay,
Ghamon ki dhoop ka tum say magar shikwa nahin kertay,
Nahin aatay kabhi bhi loot ker guzray howay mousam,
Barastay badalon ki aas mein tarsa nahin kertay,
Tajasus aur barhta hay machal jatay hain sun ker hum,
Achanak pyar ki baaton ka rukh mora nahin kertay,
Teri nazar |
|
| |
| Mita dain gay yeh duri, yeh faslay sab hi |
|
mita dain gay yeh duri, yeh faslay sabhi!
kaho gi ik baar kay milo aa kay kabhi!
na hon gay durr phir tum say is zindagi main!
khula rakho tum dar apna, hum atay hain abhi!
|
|
| |
| Gunah karke saza se darte hain |
|
Gunah karke saza se darte hain,
zahar pee ke dawa se darte hain,
dushmano ke sitam ka khauff nahi,
hum toh doston ki wafa se darte hain..
|
|
| |
| Baad Marne K Mere Tum Jo Kahani Likhna |
|
Baad Marne K Mere Tum Jo Kahani Likhna
Kaise Barbaad Hui Meri Jawani Likhna.
Yeh Bhi Likhna K Mere Hoont Hansi Ko Tarse,
Umer Bhar Ankh Se Behta Raha Pani Likhna.
|
|
| |
| Kya kia tere naam likhon |
|
Kya kya Tere Naam likhon. . .?
“DIL” likhoon k “JAAN” likhoon?
Aansu chura k Teri Pyari Aankhon se. . . !
Apni har Khushi Tere Naam Likhoon
|
|
| |
| Kaisay kahon dil ki kahani … |
|
Tujhau kaisay kahon mera dil ki khani meray hamdam
is main kuch pardanashinon kay bhi nam atay hain
|
|
| |
| dil to dil tha |
|
rooty es kader menaya na gaya.
door itna ho gaye paas bulaya na gaya.
dil to dil tha samendar ki ret nahe.
likha diya jo naam to mitaya na gaya.
|
|
| |
| Ahsaas agar ho to |
|
Ahsaas agar ho to mahabbat karo mehsus
Her baat ka azhaar zaruri nhi lab sey
|
|
| |
| Dest kehne wale |
|
Jaankar unko, hai is baat ko jaana humne,
kis kadar palat-te hain yeh khud ko dost kehne wale.
|
|
| |
| Khamosh Fiza Thi… |
|
Khamosh fiza thi kahin SAYA bhi nahi tha…
Es shehar mein HUMSA koi aaya bhi nahi tha…
Kis jurm mein CHEENI gai HUM se hansi…
Hum ne to kisi ka DIL dukhaya bhi nahi tha…
(KIRAN ASGHAR)
|
|
| |
| Tujhey be-wafa bana dia |
|
Aaj achanak teri yad ny rula diya
Kya karon tum ny jo mujhy bhula diya
Na karty wafa to na milti ya saza
Meri wafaon ny tujhy be-wafa bana diya.
|
|
| |
| Zindagi kehta hai mujhey… |
|
Zindagi kehta hai mujhey Mera chahne wala . . .
Kya usay Mera aitbaar nahi hai . . .
(KIRAN ASGHAR)
|
|
| |
| Qaraar Cheen Leya.. |
|
Qarar cheen lia beqarar chorr gaye
Bhar legaye yad-e-bhar chorr gaye
Hmari chasm-e-khazeen ka khyal kuch na kia
Wo umar bhar k liay ashak baar chorr gaye
Jisay samajtay thay apna wo itni mudat se
Usi ko aaj wo begana waar chorr gaye
|
|
| |
| Agarche do kinaron ka… |
|
agarche do kinaron ka sangam nhi hota,
magar ek sath chalna b koi kam nhi hata;
wo ankhain ek luta ghar hain jehan aansu nahi rehte,
wo dil ek pathar hai jis dil main kisi ka gham nahi hota,
|
|
| |
| Ajeeb shakhs |
|
Shikayatain bhi thein usay to mere khuloos se
Ajeeb tha wo shakhs meri aadten na samjh saka
|
|
| |
| Sun liya hum ne |
|
Sun liya hum ne faisla tera
Aur sun ker udaas ho baithey
Zehan chup chaap ankh khaali
Jaisey hum kianaat kho baithey
|
|
| |
| Rulaya na karo |
|
Is tara mein rahon aapki nigaon mein ,
Sada aap mujhe ishqe alam rulaya na karo……..
|
|
| |
| Dil Ki Dharkanoo Ko |
|
Dil Ki Dharkanoo Ko ik lamha saber nahi,
Shayd k us ko ab meri kader nahi,
Her safer mein mera kabhi hamsafer tha woh,
Ab safer to hai mager wo hamsafer nahi..!
|
|
| |
| Hadd se zyada |
|
Aaj yeh tanhai ka ehsaas kuch hadd se zyada hai,
tere sang na hone ka malaal kuch hadd se zyada hai.
phir bhi kaat rahe yeh jiye jane ki saza yehi sochkar,
shayad is zindagani mein mere gunaah kuch hadd se zyada hai.
|
|
| |
| Chehray ki khushbu |
|
Kisi k Chehry ki Khushbu ne kar diya pagal
Phir us k baad sama ka sama hua pagal
jo un se main ne kaha Zindagi bana lo Mujhe
To us ne Dheere se ik Lafz Keh diya pagal
|
|
| |
| Mout ke baad yaad |
|
mout ke baad yaad aa raha hai koi,
mitti mery kabr ki utha raha hai koi,
a khuda do pal ki zindgi or de de,
mery kabr se udas ja raha hai koi…
|
|
| |
| Tumhari chahhat |
|
tumhari chahhat ka aidrak hoa tha mujhay
tum say piyar yohi to nahi hoaa tha mujhay
tumhari razamandi ka yaqeen hooa tha mujhay
tum say aiqrar yo hi to nahi hoa tha mujhay
tumhari wafa ka hosla mila tha mujhay
tum say ainkar yonhi to nahi hoa tha mujhay
|
|
| |
| Mutalba humara |
|
mutalba humara un sy kuch bhi zyda nahi
murta to hai hum py woh aur khabi jutata nahi
hum ny kub chaha jee jan sy woh chahy humein bhi
per woh to itna zalim hai dykh k bhi muskrata nahi
kerta to hai roshniyaon ki barish ka wada akser
filhaal to andhyry mein hath bhi barhata nahi
aye dil to hi yaqeen dilla us k ahed e wafa ka
jo hai sung zamany k aur hum sy nazr bhi millata nahi
|
|
| |
| Too ne daikha |
|
too ne daikha hai kabi ghoor se chehray ko mere
kitny gham tere muhabbat ne chupaey hain mere
tere ik pal ki muhabbat ka ye asar hoa hai
kitny jazbat jo soe thy jagae hain mere
mai tu apnoo k hi dhokoon main gira rehta tha
tujh ko paya hai to ab sare paraey hain mere
|
|
| |
| tum say kahnay |
|
tum say kahnay kay liaay bay-qarar hain hum
such tumharay hi talab-gaar hain hum
waqat milay to kabhi mil ker dekhiay
such baray hi milansar hain hum
sath wafa say nibhaay gay hum
such baray wafa-daar hain hum
|
|
| |
| Dil bay-qarar |
|
Dil bay-qarar hoaa
tujh say kia piyar hoaa
dil bay-tab hoa
tujh say milnay kia etafaq hoa
hum say dil bay-aetbar hoa
tujh pay aetbar hoa
start aik silsila hoa
tujh say kia aiqrar hoa
|
|
| |
| Kya Fayada Kisi ko chahane ka ? |
|
Kya Fayada Kisi ko chahane ka ?
Kya Fayada Kisi ki yadon me aansu bhane ka ?
jo samjhe na kisi ke dil mein basa pyaar..
kya fayada uske pyaar meindil ko tadpane ka
|
|
| |
| Hakikat mahobbat ki judai hoti hai |
|
Hakikat mahobbat ki judai hoti hai,
Kabhi kabhi pyar men bewafai hoti hai,
Hamare taraf hath badha kar to dekho,
Pata chalega k dosti men kitani sacchai hoti hai.
|
|
| |
| Kise ki khatir mohabbet ki intiha kar do |
|
Kise ki khatir mohabbet ki intiha kar do
Per itna bhi nahi kay usay Khuda kar do
Mat chaho kise ko tot kar itnay kay
Kay usay apni wafaoun say hi bay wafa kar do
|
|
| |
| yeh mera dil samajhta hai…. |
|
k koi deewana kahta hai koi pagal samajhta hai,
magar dharti ki be-chaini bas badal samajhta hai,
tu mujhse dur kaisi hai main tujhse dur kaisa hun,
yeh tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai
|
|
| |
| pyar ki kismat |
|
pyar ki kismat koi na jane,
mar mitne ko taiyar hai diwane,
duniya dekhe tamasha aur
kahe, jal gaye pyar mae parwane.
|
|
| |
| Her hud guzar chuki hay |
|
Her hud guzar chuki hay mari tujh say piyar ki
Zindagi mangi hay ager aur, to tujh say piyar ki
Her khoshi hogaiee hay mari wabasta tujh say
Jab say ibtada ki hay may nay, tujh say piyar ki
Taray siwa mujh ko abb kuch aur nazer nahi aata
Intaha dekh li hay sub nay meri, tujh say piyar ki
|
|
| |
| Aankhay jub aussay char hoti hain |
|
Aankhay jub aussay char hoti hain
Dil ki baatay hazar hoti hain
Piyar may pata chal raha hay abb
Kasay nindhay kharab hoti hain
Zamana kuo dushman banta hay
Kasa sunna baatay azab hoti hain
Samajh may kuch nahi aata Sameer
Aqal ki batay baykar hoti hain
|
|
| |
| Dil maray |
|
Dil maray mujh say sanbhalnay ka wada ker lay
Samnay bhaytayn hain unsay milnay ka erada ker lay
Koiee baat bhi ais waqat aun say ker lay
Pass anay ka unsay koiee bahana ker lay
Jazbaat per appnay pahaylay zara qaboo ker lay
Aizharay piyar ka thoray sa ahtaymam ker lay
|
|
| |
| Yehi Aadat |
|
bas yehi aadat uski mujay achi lagti hai fida
udaas ker k mujay khud b khush nahi rehta
|
|
| |
| Kuch Na Puchiye |
|
Kitne Nazuk Mizaj Hain Wo Kuch Na Puchiye
Neend Nahi Aati Unhaien Dharkan k Shor Say…………..
|
|
| |
| Nafraton k ghar nahi hote |
|
Wo darakht jinper parindon k ghar nahi hote,
dost jitne bhi hon motaber nahi hote,
mare doston ki pehchan ha sirf itni,
k un k dilon ma nafraton k ghar nahi hote.
|
|
| |
| shidat e ghum |
|
ye keh kr mere dushman muje hansta chor gai
k tere apne hi kafi ha tuje rulane k liye
|
|
| |
| Apno ko bhula dayta hai |
|
na jane kis bat ki wo mujh ko saza dayta hai
mere hansti hoye ankhon ko rula dayta hai
hum ko maloom nahin koye to poocho us se
kya koye is tarah apno ko bhula dayta hai
|
|
| |
| Rishta Toot Jayega |
|
Khayal-o-Khawab ho kar reh gai hain ronaqain ghar ki
Kisey maloom tha un ka sahara choot jayega
Na kar tameer khawaboon key mahal shab ki sihai main
Sahar hote hi in khawaboon se rishta toot jayega…..
|
|
| |
| sary jhagre ana key hote hain |
|
Qurb key na wafa key hote hain
sary jhagre ana key hote hain
Wo humara hai is tarha se faiz
jaise bande Khuda key hote hain
|
|
| |
| Kaash k Duniya aisi ho….. |
|
Koi dukh na ho koi ghum na ho,
Koi aankh kabhi num na ho,
Koi dil kisi ka tore na,
Koi sath kisi ka chore na,
Bas piyar ki nadiyan behti ho,
Kaash k Duniya aisi ho…..
|
|
| |
| Chup raho Khuda key liye |
|
Bara maza ho jo mehsher meim hum karen shikwa
Woh minnaton sey kahen chup raho Khuda key liye.
|
|
| |
| Kuch khone ko pyar kehte hain |
|
Dil ki aawaz ko izhaar kehte hain,
jhuki nigah ko iqrar kehte hain,
sirf paane ka naam ishq nahin,
kuch khone ko bhi pyar kehte hain
|
|
| |
| Tu He Mil Jaye |
|
Tu he mil jaye mujhe ye he kaafi hai,
Meri har saans ne ye hi dua maangi hai,
Jaany kyon Dil khincha jata hai Teri taraf,
Kya tu ne bhi mujhe paany ki DUA maangi hai?
|
|
| |
| Hansty Me Rula Deta Hai |
|
Wo Jo Milta hy to Har Dard Bhula Deta hy,
Jany kia Bat hai Dil Usko Dua Deta hy,
Wo Muje Pyar Se Roty me Hansany Wala,
Yaad Ata Hy To Hansty Me Rula Deta hy.
|
|
| |
| Hoti Nahi Dosti |
|
“Hoti nahi dosti kabhi chehre se”
“Dosti to dil se ki jati hay”
“Soorat unki khud hi pyari lagti hay”
“Kadar jinki dil se ki jati hai.
|
|
| |
| Hasrate Reh Jayegi |
|
Hasrate reh jayegi apke bin adhuri,
zindagi na hogi apke bin poori.
Ab aur sahi jaye na ye doori,
Jeene k liye apka saath he bahut zaruri.
|
|
| |
| Sun loo |
|
PAS Aao, Ik Ilteja sun lo.
Pyar Ha Be-Panah sun lo
Ek Tumhi ko Khud sa Manga ha..
Jab b Koi Dua Mangi Sun lo.
Ibteda Ishq ki How Tum Sa.
Tum ko Chahat Ki Inteha Sun lo.
Bin tere je nahi sakunge main..
Lot Ao mere Sada sun lo.
Dekh lo Zindagi Adhuri ha..
Na Raho aur ab JUDA sun lo..
|
|
| |
| Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath |
|
Kuch andhera b zaruri hai gham-e-yaar k sath,,,
ab diya koi na rakhe meri dewaar k sath,,,
mein jo ik umer masafat mein raha, tab jana,,,
rah b chalti rahi hai, meri raftaar k sath,,,
ham to yusaf nahi,bazaar-e-sukhan mein “FRAAZ”
yun hi chal parte hein,har ik kharidaar k sath.
|
|
| |
| Mere dil ki talashiyaan |
|
Apne Siwa batao tumhein Kuch MiLa Hai FARAZ ..
Hazar bar leen hain tumne mere dil ki talashiyaan
|
|
| |
| Mera ik shook tha |
|
berukhe ke teer khana be mera ik shook tha
dostoon ko azmana be mera ik shook tha
dard un ka apnay senay se lagaya is leay
k choot kha kar muskrana be mera ik shook tha
|
|
| |
| Aaj halki halki baarish hay |
|
Aaj halki halki baarish hay,
aaj sard hawa ka raqs bhi hay,
Aaj phool bhi nikhray nikhray hain,
aaj un main tumhara aks bhi hay,
|
|
| |
| Kaisi bachon si baatain kartay ho |
|
Mujsay bicher kay kush rahtay ho
Meri tarah tum bi jothay ho
Eik diwar pay chand nikla tha
Main yeh samjah tum baithay ho
Ojlay ojlay phool khelay thay
Bilkul jaisay tum hanstay thay
Mujay sham bata dayti hai
Tum kaisay kapray pehnay ho
Dil ka hall para chahray say
Sahil say lahrain gintay ho
Tum tanha duniya say laro gay
Kaisi bachon si baatain kartay ho
|
|
| |
| Intikhab karna hay |
|
Be-khuloos logo’n se
Ijtinab karna hay
Mujhy apne rishto’n ka
Ehtisab karna hay
Usay bhool jana hay ya
Usay yaad rakhna hay
Dukh tou ek jesa hay bs
Intikhab krna hay
|
|
| |
| Aaj badal kalay gehray hain,aaj chand pay lakhon pehray hain |
|
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,
Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain,
|
|
| |
| TERI YAAD AA REHI HAY |
|
NA FIKR E FARDA
NA YAAD E MAAZI
NA CHAIN DIL KO
NA BE KARARI
NA HUD SE GUZRA HUWA JUNOON WO
NA KHAMOSHI WO PEHLE JESI
BAS EK UDASSI HAY DHEEMI DHEEMI
BAS EK KHAMOSH SI BE KARARI
JO ZINDAGI K ADHURE PAN KO
HUDON SE AAGE BARHA REHI HAY
SHAYAD TERI YAAD AA REHI HAY
HAAN…
TERI YAAD AA REHI HAY…!
|
|
| |
| Khuda ne hume aisa banaya hi nai… |
|
Humare dilki gehrai ko koi samjh paya hi nai,
Kitne tanha hain hum koi jaan paya hi,
Kisi ko humari kami mehsoos ho,
Khuda ne hume aisa banaya hi nai…
|
|
| |
| Kisi ke pyar ko bhulna na aaya hume. |
|
kisi ke pyar ko bhulna na aaya hume. kisi ke dil ko dukhana na aaya hume. kisi ke liye tadpna to seekh liya par apne liye kisi ko tadpana na aaya hume.
|
|
| |
| Saans lene se bhi teri yaad aati hai |
|
Saans lene se bhi teri yaad aati hai,
Har saans mein teri khushboo bas jati hai,
Kese kahoon ki saans se main zinda hoon,
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai.
|
|
| |
| Judai mein ye roz roz ka marna |
|
Dil to karta hai zindagi ko kisi qaatil k hawalay kar doon SAAHIL
Judai mein ye roz roz ka marna mujhay acha nahi lagta
|
|
| |
| Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai, |
|
Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai,
jise chaho wahi apne se dur hota hai,
Dil tutkar bikharta hai is kadar jaise
koi kanch ka khilona chur-chur hota hai.
|
|
| |
| Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai |
|
Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai,tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,hume to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai.
|
|
| |
| Tum he kion bhaye dil ko kya maloom |
|
Har baar dil se yeh paigham aaye,
Zubaan kholon to tera he naam aaye,
Tum he kion bhaye dil ko kya maloom,
Jab nazroo k saamne haseen tamam aaye.
|
|
| |
| Baatein karke bhola na dena |
|
Baatein karke bhola na dena,
Fasana karke mita na dena,
Agar day sako dosti to gham nahi,
Par dost banke bhola na dena.
|
|
| |
| Yun meray khat ka jawab aaya… |
|
Yun meray khat ka jawab aaya…
Lifafay main aik gulaab aaya
|
|
| |
| Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo |
|
Jugnu ko qaid kar k muskaraya na karo,
Roshni ki khatir kisi ka dil jalaya na karo,
Sitam karna hai karo par itna na karo!
Yaad nahi karsakte to yad aaya na karo….
|
|
| |
| Bhool samajh kar bhool jana. |
|
Bhool se koi bhool hui to
bhool samajh kar bhool jana.
Are… bhoolna sirf bhool ko,
bhool se bhi hame na bhulana.
|
|
| |
| Wafa Main Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai, |
|
Wafa Main Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai,
Woh Sach Kahe Na Kahe Aitebar Karna Hai.
Yeh TujhKo Jagte Rehne Ka Shauk KabSe Hua,
Mujhe To Khair Tera Intezaar Krna Hai.
|
|
| |
| Main jo POOCHO tumhara HAAL-e-DIL |
|
Apni KHAMOSH zindagi main bolana mujhko,
Apni HASEEN khuwab ki TASVEER banana mujhko,
Main jo POCHON tumhara HAAL-e-DIL,
To apni har DHARKAN ki AWAZ sunana mujhko
|
|
| |
| Sitam ko humne berukhi samjha |
|
Sitam ko humne berukhi samjha
Pyaar ko humne bandagi samjha
Tum chahe hume jo bhi samjho
Par humne to tumhe apni zindagi samjha
|
|
| |
| Ye dil na jaane kya kar baitha |
|
Ye dil na jaane kya kar baitha.
Mujhse puche bina hi faisla kar baitha.
Iss zameen par toota sitara to nahi girta.
Aur ye pagal chand se dosti kar baitha.
|
|
| |
| Kitna bebas hai insaan kismat ke aage |
|
Kitna bebas hai insaan kismat ke aage,
kitne door hai sapna haqiqat ke aage,
koi ruki hui dhadkan se puche,
kitna tadapta hai dil mohabat ke aage..!
|
|
| |
| Jeena chahte hai magar zindagi raas nahi Aati |
|
Jeena chahte hai magar zindagi raas nahi Aati,
marna chahte hai magar maut paas nahi Aati.
Bahut Udaas hain hum is zindagi se,
Kismat bhi Tadpaney se Baaz nahi Aati…
|
|
| |
| Nafrat tum kabhi na karna humse |
|
Nafrat tum kabhi na karna humse….
hum ye seh nahi payenge….
ek bar keh dena humse aitbar nahi….
aapki duniya se has kar chale jayenge…
|
|
| |
| Hamari mohabbat k saare ehsaas le lo |
|
Hamari mohabbat k saare ehsaas le lo,
Dilse pyaar k saare jazbaat le lo,
Nahi chhodenge tufaan mein bhi akele tumhe,
Is dost ki dosti ka chahey imtehaan le lo.!
|
|
| |
| Wo shakhs meri jaan bana rehta hy |
|
Wo shakhs meri jaan bana rehta hy,
Uska pyar meri pehchan bana rehta hy,
Koi muntazi hy uska kitni shiddat se,
Wo janta hy magar anjan bana rehta hy…
|
|
| |
| Chup rehte hai k koi khafa na ho jaye |
|
Chup rehte hai k koi khafa na ho jaye, hamse koi rusva na ho jaye, badi mushkil se koi apna bana hai, darte hai ki milne se pehle hi koi juda na ho jaye.
|
|
| |
| Happy Ramadan ul mubarak |
|
hum ap k dil main rehte hain,
Is liye her dard sehte hain,
Koi hum se pehle WISH na ker de apko,
Is liye sub se pehlay “Happy Ramadan ul mubarak” kehte hain
|
|
| |
| Aansu ko palko tak laya mat karo, |
|
Aansu ko palko tak laya mat karo,
Dil ki baat kisi ko bataya mat karo,
Log muthi mein namak liye phirte hai,
apne zakham unhe dikhaya mat karo.
|
|
| |
| Raat ankho me dhaLi palkon par jugnu aye |
|
Raat ankho me dhaLi palkon par jugnu aye
hum hawao ki tarah jakar use chuh aye
usne chuh kar mujhe pathar se insan kiya
mudhaton baad meri ankho me ansu aye
|
|
| |
| Be-zabano ko jub wo zaban deta hay |
|
Be-zabano ko jub wo zaban deta hay,
Parhne ko phir wo QURAN deta hay,
Bakshne pay aata hay jub ummat k gunahon ko,
Tohfay mein gunahgaron ko RAMAZAN deta hai
|
|
| |
| wade kisise irade kise se, |
|
wade kisise irade kise se,
anhe kise se nigahe kisi se,
ab yaar tumhra bharosa hi kya,
jo adhe hamare adhe kisi ke.
|
|
| |
| mere zindagi kya dosra naam hoo tum, |
|
mere zindagi kya dosra naam hoo tum,
hum tere dil me rahe ge ek yaad bankar ,
tere laab pe khilenge muskan ban kar ,
kabhi apne se juda maat samaj na ,
hum tera saat chale ge asman ban kar.
|
|
| |
| Wo Bewafa Hain To Kya, Mat Kaho Bura Us Ko |
|
Wo Bewafa Hain To Kya, Mat Kaho Bura Us Ko
Ke Jo Huwa So Huwa Khush Rakhe Khuda Us Ko
|
|
| |
| Yaad mein teri aankhe bharta hai koi, |
|
Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi….!
|
|
| |
| Jis din se juda vo humse hue |
|
Jis din se juda vo humse hue
is dil ne dharkna chor diya
hai chaand ka mooh bhi utra utra
taaro ne chamkna chor diya
|
|
| |
| Mujh ko MAIRI JAAN bulata hai koi |
|
Deeiray dheeray dil main utarta jata hai koi,
Mujh ko MAIRI JAAN bulata hai koi,
Main toot ke bikhar jaon, ye mumkin nahi,
Boht piyar se sath apne mujhe sulata hai koi………
|
|
| |
| Har baat ka jawab inkar nahin hota |
|
Har baat ka jawab inkar nahin hota
Har jaga rukna intazar nahin hota
Yun to milti hein hazaron se nazrein
Her nazar ka milna magar pyar nahin hota
|
|
| |
| ArZo0 HaY TumHAin Do0R Se DekHNay KI, |
|
ArZo0 HaY TumHAin Do0R Se DekHNay KI,
MAgEr PasS NaHi AaNa ChAhTa,
TaMaNnA NaHi tuMHain PANAy ki,
MAgeR KhoNA BhI NAHi CHAhTa…
|
|
| |
| Mujhse Apna Payar Kabhi Wapas Mat Laina |
|
Mujhse Apna Payar Kabhi Wapas Mat Laina
Mujhse ye iqrar Kabhi Wapas Mat Laina
Kehte Rehna Har Pal Main Tumra Hon
Mujh Sai ye izhar Kabhi Wapas Mat Laina…
|
|
| |
| Zindagi bhar ke liye tera sath Nibhana chahty hai |
|
Zindagi bhar ke liye tera sath Nibhana chahty hai
Tumhaari in ankho mai sada ke liye bas jana chahty hai
Chahty is dil ki, na jaane humse kaya kaya chahati hai
Najar bhar tumhe dekh kar, Tum per mar jana chahty hai!!!!
|
|
| |
| chaley gaye they door ek pel key leye |
|
chaley gaye they door ek pel key leye,
mager apkey dil key kareeb they her pel key leye,
keysey bhulengey apko ek pel key leye,
jub khu chukey hai khud ko her pel key leye
|
|
| |
| mujhey phool na dena |
|
mujhey phool na dena mujhey unse nafrat hai
dena hai to kaantey dedena mujhey
unki aadat hai woh chubtey hain
zhakham detey hain imandari se
phool to bewafa hotey hai ,
doka detey hain wafadari se
|
|
| |
| yeh dua hai koi gela nahe |
|
yeh dua hai koi gela nahe
maire zindage hay woh gulaab jo kabhe khila nahe
main sochta hoon KHUDA karay tujhe
woh sukh milay jo mujhe kabhe mila nahe
|
|
| |
| teri ulfat ki rahoon mein loota de zindagi hum ne. |
|
teri ulfat ki rahoon mein loota de zindagi hum ne.
dil-o-jaan lootne wale to kitna bewafa nikla.
|
|
| |
| Rat ka waqt hai or masjid hai qareeb |
|
Rat ka waqt hai or masjid hai qareeb
uthiye jaldi se ke peghame amal laya hoon
ghar main hain filhal jitne bhi purane jote
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon
|
|
| |
| Main usay Dill Say Piyar Karti Hoon |
|
Main usay Dill Say Piyar Karti Hoon Rang Jis ka Hina Say Milta hay Rangat Main Dilfarareb Hum Bhi Nahi LAKIN Saonwali si is jori say Zamana jalta hay
|
|
| |
| Zamane se nahin hum tanhai se darte hain |
|
Zamane se nahin hum tanhai se darte hain,
Pyar se nahin hum rusvayee se darte hain,
Dil mein umang hai tujhse milne ki,
Par milne ke baad aane wali judaai se darte hain.
|
|
| |
| bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte. |
|
bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte.
jaam dusron se cheen kar hum piya nahi karte.
agar unko mohabbat hai toh hum se akar izaar kare.
peecha hum bhi kissi ka kiya nahi karte
|
|
| |
| Apne dard E DIL ka Hamdard Hame hi Paoge, |
|
Apne dard E DIL ka Hamdard Hame hi Paoge,
In tanhayon me saath hame hi paoge,
Door hain tum say to kya huwa,
In dooriyon me sabse kareeb hame hi paoge.
|
|
| |
| Raat kya dhali sitare chala gayay, |
|
Raat kya dhali sitare chala gayay,
Gairo sa kya gila jab aapna chalay gayay,
Jeet to saktay thay ishq bi bazi ham bhi,
Magar tumhe jitanay ka liya hartay chalay gayay
|
|
| |
| Khamosh se rehne lage ho |
|
Khamosh se rehne lage ho,
intezar kisika karne lage ho,
yakinan kisise hui hai mohabbat,
tabhi bina baat muskurane lage ho…
|
|
| |
| Shama kehti hai muje banaya kisne |
|
Shama kehti hai muje banaya kisne,
jis jis ke hath lagi muje jalaya usne,
wo shama kya jise koi jalane wala na ho,
wo insan hi kya jise koi chahne wala na ho…
|
|
| |
| Ashqon se nahi bujhte shole dard-e-pyarke |
|
Ashqon se nahi bujhte shole dard-e-pyarke,
Maut bhali aisay lambe intezar se,
Marte hain roz bina dedar-e-yar ke,
Tanhahi ache the us BEWAFA ke pyar se
|
|
| |
| Bohut khush naseeb kal ki rat guzri |
|
Bohat “Khush Naseeb”kal ki “RAAT”Guzri,
Kuch”Tanha” par kuch”Khaas” Guzri,
Na”Neend”aaie na “Khuwab”koi,
Bas”Tere” “Khayalon”ke saath Guzri,
|
|
| |
| Hum To Pehle Se Hi Ap K Hain |
|
~Hum To Pehle Se Hi Ap K Hain.. .
~Kiya Zarorat Ha Humein Aazmane Ki. ..
~Yaad Na Kro To Koi Gham Nahi..
~Par Khawahish Na Karna Kabhi Bhool Jane Ki.. .. .!
|
|
| |
| Tum JAN sakty is MOHABAT Ko…..Kaaash |
|
Kash tum DEKH sakty…
Tuty huy dil ko
Behty huy ansuon ko
Is adhury mösam ko
Kash Tum PARH sakty…
Mery hathon ki lakeron ko
Khawabon ki taberon ko
Dil k afsanon ko
Kash Tum SÃ…MJH Sakty…
Mery lafzon ki gehrai ko
Honton ki sachai ko
Mehfil ki tanhai ko
Kash tum JÖRR sakty…
Iss DIL ko.. ..
Iss RISHTY ko.. ..
Iss WADY ko.. ..
Lekin ye soch kr khamosh ho jata hun.. ..
|
|
| |
| Phr milna hua to milenge khwabo me |
|
Salon bad najane kia sama hoga,
Hm sb doston me se najane kon kha hoga,
Phr milna hua to milenge khuwabo me
Jese sukhe gulab milte hain kitabon me!
|
|
| |
| Bhatakte rahe hai badal ki tarah |
|
Bhatakte rahe hai badal ki tarah,
seene se lagalo aanchal ki tarah,
gham ke raste pe na chodna akele,
warna tut jaynge payal ki tarah.
|
|
| |
| Dil Ko Manana aggar Hota Aaasaaan |
|
Dil Ko Manana aggar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
|
|
| |